Skip to main content

Nasha aisa chhaya, teri aashiki ka

Nasha aisa chhaya, teri aashiki ka
Hua dil diwana, teri sadgi ka
Ye aankhe jhuki si, ye sharimilipan
Badan chandni sa, aur ye pairahan
Ajab sa sama hai, teri dilkashi ka
Nasha aisa chhaya teri aashiqi ka
Tu khamosh hai, ek tasvir jaise
lage aise tu, meri takdir jaise
Diya hai mere dil ki tu raushni ka
Nasha aisa chhaya teri aashiki ka
Teri ek jhalak ne diwana banaya
Hame khud se bhi begana banaya
Chhaya hai mere dil pe jadu ye bekhudi ka
Nasha aisa chhaya, teri aashiqi ka
‘Avinash’ se jara tu bas pyar karke dekh
Bahon main aa ja ek pal ijhar karke dekh
Aajayega maja fir, jine main jindgi ka
Nasha aisa chhaya, teri aashiqi ka.

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng