Skip to main content

Zalimon Ki Dheel Ka Manzar Nazar Tak Le Gaya

Zalimon Ki Dheel Ka Manzar Nazar Tak Le Gaya
Hum Ghareebon Ki Duwaon Ka Asar Tak Le Gaya

Unche Mahalon Ke Tale Hai Muflison Ki Bheed Kyon
Kaun Sa Jazba Unhe In Ahle Nazar Tak Le Gaya

Zinda Bachche Jalte Dekhe Aik Budhe Baap Ne
Kis Qadar Jaan Sauz Manzar Tha Nazar Tak Le Gaya

Khushnaseebi Le Gayi Ik Behunar Ko Arsh Par
Badnaseebon Ka Hunar To Unka Sar Tak Le Gaya

Matlabi Aik Baap Bete Se Dagha Karta Raha
Ye Rawayya Achchhe Bete Ko Bhi Shar Tak Le Gaya

Rekhta Kar Liya Haqgoee Mein Sar Bhi Safed
Uska Har Ik Sach Magar Jhoote Nagar Tak Le Gaya

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.