Skip to main content

Kehnay Ko Muhabbat hai lakin

Kehnay Ko Muhabbat hai lakin
Ab esi muhabbat kia kerni…
Jo neend chura le ankhon se
Jo khawab dikha k pholon k
Tabeer main kantay de jai
Jo gham ke kali raaton se
Her aas ka jugnu le jai
Jo khawab sajati ankhon ko
Aansu he aansu de jai
Jo mushkil ker de jeenay ko
Jo marnay ko asaan keray
Woh dil jo Pyar ka mandir ho
Wo yadoon ko mehman kare
Ab Aisi Muhabbat kaya karni…
Jo umer ki naqdi le jaey
Aur phir bhi jholi khali ho
Woh soorat DIL ka rog Baney
Jo soorat dekhi bhaali ho
Jo Qais bana de Insan ko
Jo Ranjha Aur Farhad karay
Ab Aisi Muhabbat kya karni..?
Jo khushiyon ko Barbad kare
Dekho to Muhabbat k Baray
Har shakhs yahi kuch kehta hai
Socho to Muhabbat k Ander
Ik Dard humesha rehta hai
Phir Bhi Jo cheez MUHABBAT hai
Kab In baaton se Darti hai
Kab in k baandhay rukti hai
Jis DIL main iss ko Basna ho
Yeh Chupkay say Bas jati hai
AB AISI MUHABBAT KIA KARNI…???

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng