kuch din to baso meri ankhon main

kuch din to baso meri ankhon main
phir khwab agar ho jao to kya
 
koi rang to do mere chehre ko
phir zakhm agar mahkao to kya
 
ik aina tha so tut gaya
ab khud se agar sharmao to kya
 
main tanha tha main tanha hun
tum ao to kya na ao to kya
 
jab ham hi na mahak phir sahib
tum bad-e-saba kahlao to kya
 
jab dekhne wala koi nahin
bujh jao to kya jal jao to kya