Skip to main content

Jab dakhil e bahisht Rasool e Khuda huwe

Jab dakhil e bahisht Rasool e Khuda huwe
 Ya’ni jahaan se rahiye maalik e baqa huwe
 Mahzoon O dil malool Shahe laa fatah huwe
 Sibtain gham mein nana ke sarf e buka huwe
 Sadma har ek ko tha janaab e Rasool ka
 Par haal e ghair sab se siwa tha Batool ka


Bistar se thar thara ke uthi thaam kar asaa
 Qabr e Nabi pa fatiha na aakhri padha
 Hamsaiyoon ke ghar gayeen rukhsat ko aur kaha
 Lo sahibo bahal karo ab kooch hai mera
 Izaa thi tum sabhoon ko mere shor o shain se
 Kal Fatima na hoyegi tum sona chain se


Hamsa ye ke huqooq se aagaah hai jahaan
 Logoon mere yateemo se rahna nigaahbaan
 Ab saath un ka aur tumhara hai hum kahaan
 Bin maa ki hoti hai meri dukhyaari betiyaan
 Bachpan pe apne bachchon ke aasoon bahati hoon
 Tum par Hasan Hussain ko mein chhorde jaati hoon


Ro kar kabhi Hasan ko galey se laga liya
 Aaghoosh mein Hussain ko gaahe bitha liya
 Rukhsat kiya kisi ko kisi ko bula liya
 Padhne ke waastey kabhi quraan utha liya
 Kahti thi gaah bachchon se munh apna modh kar
 Kal suune ghar mein sona hai basti ko chordh kar


Sun lo wasiyaate meri is waqt yaa Imaam
 Fizza se mere baad adalat se lena kaam
 Hoshyaar Fatima ki amanat se subh o shaam
 Dou betiyaan dou bete hain bas aur khuda ka naam
 Mein ne badey dukhon se ye sab bachchey paaley hain
 Haq ke hawaale tum ye tumhare hawaale hain

Sab haashmi qasam meri asmat ki khaate hain
 Mujh ko arab ki rasam se andeshey aate hain
 Aurat ka murdah takht par rakh kar uthaate hain
 Aasaar is mein murdeh ke sab paaye jaate hain
 Deti hoon mein qasam tumhein roohe Rasool ki
 Waali na yoon uthaiyo mayyat batool ki

Hai aarzoo ke qabr mein mujhko Hasan litaaye
 Shabbir mere murdeh ka munh qibla ko phiraaye
 Phir khud kaha nahi nahi bachey hain darr na jaaye
 Naagaah kheltey huwe dono yateem aaye
 Chhaati laga ke boli ke lo hum tou martey hain
 Tum se sulook dekhiye kya log kartey hain


Le kar balaaein beti ki Zahra ne ye kaha
 Roti tou hoon zyaada na Zainab mujhe rula
 Kuch bhaaiyon ke soomp gayi samjhi muddua
 Tu unki roney wali hai Zahra tere fida
 Kya bas mera jo marziye Parwardigaar hai
 Zainab tamaam kunbe ki tu sogwaar hai


Ye kahti thi ke ghash ne diya maut ka payaam
 Hujre se nikle rotey huwe aqruba tamaam
 Tarteeb e na’sh ke liye bahar gaye Imaam
 Zahra ne yaan musalle pe apna kiya maqaam
 Likha hai bas namaaz isha ki ada huwi
 Aur ghul utha ke binte Nabi ki qaza huwi


Maatha Hasan ne murdeh ke maathey pe rakh diya
 Ro ro ke amma amma kaha aur ghash huwa
 Talwon se apne maathey ko Shabbir ne mala
 Paaon mein damm na paya tou ye kaan mein kaha
 Mein aap ka ghulaam hoon aur noor e ain hoon
 Awaaz dou Hussain hoon amma Hussain hoon

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.