tere pyar main ruswa hokar jaye kahan diwane log

tere pyar main ruswa hokar jaye kahan diwane log
jane kya kya puch rahen hain ye jane pahchane log
 
 
jaise tumhen hamne chaha tha kaun bhala yun chahega
mana aur bahut ayenge tum se pyar jatane log
 
 
kaise dukhon k mausam aye kaisi ag lagi yaro
ab saharaon se late hain phulon k nazrane log
 
 
kal matam beqimat hoga aj inki tauqir karo
dekho khun-e-jigar se kya kya likhte hain afasane log
 
 
jante hain ye ishq musalsal rog hai ah-o-zari ka
phir bhi us k kuche main jate hain umr gawane log