Skip to main content

kuchh tujh ko Khabar hai ham kyaa kyaa ai shorish-e-dauraa.N bhuul gaye

kuchh tujh ko Khabar hai ham kyaa kyaa ai shorish-e-dauraa.N bhuul gaye
vo zulf-e-pareshaa.N bhuul gaye vo diidaa-e-giriiyaa bhuul gaye

ai shauq-e-nazaaraa kyaa kahiye nazaro.n me.n ko_ii suurat hii nahii.n
ai zauq-e-tasavvur kyaa kahiye ham suurat-e-jaanaa.N bhuul gaye

ab gul se nazar milatii hii nahii.n ab dil kii kalii khilatii hii nahii.n
ai fasl-e-bahaaraa.N ruKhasat ho ham lutf-e-bahaaraa.N bhuul gaye

sab ko to madaavaa kar Daalaa apanaa hii madaavaa kar na sake
sab ke girebaa.N sii Daale apanaa hii girebaa.N bhuul gaye

ye apanii vafaa kaa aalaam hai ab un kii jafaa ko kyaa kahiye
ek nashtar-e-zahar-e-aagaahii rakh kar nazdiik-e-rag-e-jaa.N bhuul gaye

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng