Skip to main content

mujhe udaas kar gaey ho, khush raho

mujhe udaas kar gaey ho, khush raho
mere mizaaj par gaey ho, khush raho

mere liye nah ruk sakey to kya huwa
jahaN kaheiN thehar gaey ho, khush raho

khushi huwi hey aaj tum ko dekh kar
bahut nikhar sanwar gaey ho, khush raho

udaas ho kisi ki bey wafai par
wafa kaheiN to kar gaey ho, khush raho

gali meiN oar log bhi thay aashna
humheiN salaam kar gaey ho, khush raho

tumheiN to mairi dosti peh naaz thaa
osi sey ab mukar gaey ho, khush raho

kisi ki zindagi bano keh bandagi
merey liye to mar gaey ho, khush raho

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng