Skip to main content

Bara kathan hai raasta jo aa sako to sath do

Bara kathan hai raasta jo aa sako to sath do
Ye zindagi bhar ka sath hai nibha sako to sath do

Jo tum kaho dil to kya main jaan bhe fida kar don
Jo main kahon bus aik nazar luta sako to sath do

Hazar hain imtehan yahan hazar aazmaishain
Hazar dukh hazar ghum utha sako to sath do

Ye zindagi yahan khushiyan ghamo k sath sath rehti hai
Rula sako to sath do, Hansa sako to sath do
 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.