samay samay kii Khalish me.n teraa malaal rahe

samay samay kii Khalish me.n teraa malaal rahe
judaa_iiyo.n me.n bhii yuu.N aalam-e-visaal rahe


anaa kii jang me.n ham jiit to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak niDhaal rahe


raah-e junuu.N me.n yahii zaad-e-raah hotaa hai
ke justajuu ba.De divaanagii bahaal rahe


hasii.n raate.n bhii mahake.n tumhaarii yaado.n se
ka.De dino.n me.n bhii pal pal teraa Khayaal rahe


tuu ek baar zaraa kishtiyaa.N jalaa to sahii
hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahe