Skip to main content

Posts

Showing posts from February, 2014

Mein agar dikha nahi paata apne pyar ki hadd tumko

Mein agar dikha nahi paata apne pyar ki hadd tumko  To wo iss liye nahi ke mujhe pyar nahi hei  Mein na ho kar bhi hoon waha jahan jahan tum ho  Kya tumhare gale mein meri banhon ka haar nahi hei?  Mein jeeta hoon tumhare liye ye jaanti ho tum  Ab kabhi na kehna tumhara koi ghamkhwar nahi hei

Meri zindagi mein yun aakar, door kyun jaa rahe ho

Meri zindagi mein yun aakar, door kyun jaa rahe ho  Mujhe ghair hi rehne do, tum apna kyun bana rahe ho  Tabeer mein jin khwabon ki.tum shamil hi nahi  Bolo phir aise khawab mujhe kyun dikha rahe ho  Agar pyar kar ke aise hi, hei mujhko chord jana  Batao phir pyar karna, mujhe kyun sikha rahe ho  Jahan se umeed bhi kam hei, aur aas bhi nahi baqi  Bolo na phir uss simat, chalte kyun jaa rahe ho  Meri qismat mein nahin ho,tum jaante bhi ho lekin  Phir bhi apne dil mein ,mujhe kyun basa rahe ho  Jiss hath mein na bani hei, lakeer koi mere naam ki  Phir uss hath ko mere haath mein,tum kyun thama rahe ho  Mein pehle bhi uth gaya tha jo gira tha iss dagar pe  Abh bhi rehne do zameen par, mujhe kyun utha rahe ho  Iss raste pe mein kho gaya tha pehle bhi mere humdum  Mujhe dhoondne ke waaste khudh ko kyun ganwa rahe ho  Meri ankhon mein hein ab ansoon, na kabhi hatam hone wale  Kash s...

Maut to bass ayegi aani hei aa hi jaegi

Maut to bass ayegi aani hei aa hi jaegi  Khoon ki jism mein rawani tham hi jaegi  To phir karta kyun nahi tu hosh koi  Iss mein tera nahi hei dosh koi  Himat se kaam le ye sab uske hath hei  khushion aur ghamon ka badha gehra sath hei  'Waqas' kaun janta hei Qismat mein teri kya hei  likhe kitne hein ye din likhi kitni raat hei

Phool jaise kisi bachche ki jhalak hai mujh main

Phool jaise kisi bachche ki jhalak hai mujh main Kitne masoom khyalon ki mahak hai mujh main Roz chalta hun hazaron kilo meter laikin Khatm hoti hi nahin kaisi sadak hai mujh main Woh muhabbat woh nigahain woh chalakte aansu Chand yadon ki abhi baqi khanak hai mujh main Main ufuq hoon mra sooraj se hai rishta gahra Aik do rang nahin sari dhanak hai mujh main Chand se kah do hiqarat se na daikhe mujh ko Mana jugnu hun magar apni chamak hai mujh main.

Kar raha hoon khitab patthar se

Kar raha hoon khitab patthar se Toot jayen na khwab patthar se Muskurane laga hai ik chahra Hat gaya hai azab patthar se Hai paseene main us ki paishani Ya tapakti sharab patthar se Kyun mre dil ko thais pohchai Chahta hun jawab patthar se Haste daikha na bolte daikha Aap bhi hain janab patthar se Khof khata hun aaina hokar Hai mujhe ijtinab patthar se Is main pairon ka kuch qusoor nahin Rasta hai kharab patthar se.

Sham bikhri hui hai Pedon par

Sham bikhri hui hai Pedon par Dard ki lay Saji hai pedon par Sard mosam main bhi nahin thithre Kis qadar behisi hai pedon par Nind aane lagi hai sooraj ko Chandni jagti hai pedon par Raat bhar aasman roya hai Ja ba ja ik nami hai pedon par Aye parindo palat ke aajao Ik tumhari kami hai pedon par Yun hi todo na shakh se patte IN ki dunya basi hai pedon par Guftugu kar rahi hain kuch yaden Dil nashin roshni hai pedon par Aashiyane to jal gaye kab ke Barq kya dhundti hai pedon par

KUCH APNE BARE MAIN

KUCH APNE BARE MAIN POOCHTE LOG MUJH SE HAIN AKSAR KON HUN MAIN KAHAN SE AYA HUN NAM KYA HAI MRA KAHAN KA HUN KIS LIYE MAIN KHAMOSH RAHTA HUN KUCH NAHIN KYUN KISI SE KAHTA HUN MAIRE LAB PAR KHAMOSHIYAN KYUN HAIN AB BATAO KE KYA KAHUN UNSE KYA BATAUN MAIN APNE BARE MAIN DARD KI SHAKH KA GULAB HUN MAIN PATJHADON KA KAHIN SHABAB HUN MAIN FIKR MAIN DOOBNA HAI KAM MERA SOCH KI GAHRI KHAIYYAN MUJH MAIN HUSN E BATIN KA MAIN PUJARI HUN AASMAN KI BULANDIYAN CHOOKAR LOuT  AAYA HUN PHIR ZAMINON PAR

Ghuroob hote huye soorajon ke pas rahe

Ghuroob hote huye soorajon ke pas rahe Udas sham ki manind hum Udas rahe Khandar sa aik makan takta hai raston ko Na jane aaj kahan us ke gham shanas rahe Bahar aai to saj dhaj ke ho gaye tayyar Darakht sirf khizaon main be libas rahe Mre khayal main toheen hai aqeedat ki Samandaron main rahun aor labon pai pyas rahe Yeh kah ke hogaye thode se be wafa hum bhi Hamaisha koun muhabbat main devdas rahe.

Dil ke her pal teri qurbat ke zamane mangay

دل کہ ہر پل تری قربت کے زمانے مانگے اور زمانہ تری فرقت کے فسانے مانگے ایک خدشہ مری آنکھوں کے دریچے پہ رہے جب مری نیند ترے سپنے سہانے مانگے کیا غضب ہے کہ یہی دل ہے مراسم کی سبیل اور یہی ترکِ تعلق کے بہانے مانگے اپنی بیتابی کا اظہار میں کرنا چاہوں اور مرا عہد مسرت کے ترانے مانگے سادگی ، پیار ، وفا ، چین ، مروت ، اخلاص تو بھی اس دور میں کیا چیز دِوانے مانگے میری ہر صبح ترے نام سے روشن ہوجائے خلوتِ شب تری یادوں کے خزانے مانگے صرف اقرارِ وفا صرف محبت کی نگاہ اور کیا اِس کے سوا تجھ سے وفاؔ نے مانگے

Mohabbat dil agar hoti hai pathar dil bhi hoti hai

محبت دل اگر ہوتی ہے پتھر دل بھی ہوتی ہے کہیں مقتول ہوتی ہے کہیں قاتل بھی ہوتی ہے کہیں یہ بادشاہِ وقت کے ہے تاج کی زینت کہیں پر حیثیت اس کی سمِ قاتل بھی ہوتی ہے اگر وہ روٹھ جائے تو ہمارا دم نکلتا ہے اُسی کی مسکراہٹ زیست کا حاصل بھی ہوتی ہے کھٹکتی ہے کبھی سادی مزاجی اپنی دنیا کو کبھی یہ سادگی مثلِ مہِ کامل بھی ہوتی ہے خرد کے پائوں تھک جائیں تو خیمہ گاڑ دیتا ہے جنونِ عشق کیا تیری کوئی منزل بھی ہوتی ہے وہ جب نزدیک ہوتے ہیں مسرت رقص کرتی ہے جدائی اُن کی رشکِ طائرِ بسمل بھی ہوتی ہے چلے تھے جب وفاؔ کا راستہ آسان لگتا تھا پتہ یہ اب چلا راہِ وفا مشکل بھی ہوتی ہے

zaban per sada teri naam rahe

زباں پر سدا نام تیرا رہے خدا مجھ پہ انعام تیرا رہے نہ حکمِ خدا سے ہو غفلت کبھی نہ لب پہ ہو حرفِ شکایت کبھی دعائوں سے روشن رہے دل مرا خدا کا ہی مسکن رہے دل مرا بسر زندگی ہو تری چاہ میں ہمیشہ رہوں میں تری راہ میں اٹھے جو قدم تیری جانب اٹھے اٹھے ہاتھ جو بن کے طالب اٹھے سدا نیکیوں سے ہو رغبت مجھے ہو غیبت برائی سے نفرت مجھے اثر اتنا ہو میری فریاد میں ہوں نم میری آنکھیں تری یاد میں

Main tanha jal raha tha

dharkan ko teri yad se tahrek mill rahi hai

dharkan ko teri yad se tahrek mill rahi hai chahat agar saza hai humhee thek mill rahi hai us dar se jo bhi lout ke aaya to ro para woh lagta hai aansoon ki wahaan bhek mill rahi hai hum ne to pul sirat ke bare main sun rakha tha her rah humhee bal se barik mill rahi hai shayed kesi bhi lamhee muqabil hoon uski galian jo door ki sada thi woh nazdek mill rahi hai jo jagmaga uthti thi tujhe dekh kar khushi se muddat se rah woh hum ko tareek mill rahi hai

pocha,batao zeenat ka unwan hai koi ?

pocha,batao zeenat ka unwan hai koi ? us ne bataya ,ab to meri jaan hai koi pocha batao aaina hairan kyun hua? us ne bataya dil ka mehman hai koi main ne kaha qadar karo tumko dil dia uss ne kaha ke yeh bhala ahsaan hai koi pocha,kesi ke hijar ki doulat milli tumhee bola ke dard-e-dil se bhi anjaan hai koi pocha.palak jhapakty hi manzil kahaan gai uss ne kaha essi liye hairan hai koi main ne jhatak ke zulf se chahra chupa liya uss ne kaha ke qatal ka samaan hai koi

sooraj se jang karne ki badal ne than li

sooraj se jang karne ki badal ne than li kahty hein iss janun hi ne phir is ki jaan li phir ahad hum se kar ke nibhaya kesi ke sath ik bar phir se hum ne mouqdar ki maan li sehra main charon aur na chaon milli humhee tab thak ke hum ne dhop ki chadar hi taan li qudrat ki bant hoti hai kitni aajeb si dil ko millay hein teer kesi ne kaman li uss ne palat ke dekha hai jaty hoye batool lagta hai zindagi ne achoti uthan li

jis taraf manzilon ne millna ho

jis taraf manzilon ne millna ho rasty ab wahaan nahin hoty pyar badta rahe to bahter hai silsalay raegan  nahin hoty khawab jalnay ki rakh palkon per rat jagay benishan nahin hoty toot jaye bharam to tab kahna aainay kirchyan nahin hoty un ko taktay hein mond kar aankhein fasalay darmiyan nahin hoty

Dhuup hai kyaa aur saayaa kyaa hai ab maaluum huaa

Dhuup hai kyaa aur saayaa kyaa hai ab maaluum huaa ye sab khel tamaashaa kyaa hai ab maaluum huaa hansate phuul kaa cheharaa dekhuun aur bhar aaii aankh apane saath ye qissaa kyaa hai ab maaluum huaa ham barason ke baad bhii un ko ab tak bhuul na paaye dil se un kaa rishtaa kyaa hai ab maaluum huaa saharaa saharaa pyaase bhatake saarii umr jale baadal kaa ik Tukadaa kyaa hai ab maaluum huaa

Mere baad kidhar jaayegii tanhaa_ii,

Mere baad kidhar jaayegii tanhaa_ii, mai.n jo maraa to mar jaayegii tanhaa_ii , mai.n jab ro ro ke dariyaa ban jaa_uu.Ngaa, us din paar utar jaayegii tanhaa_ii , tanhaa_ii ko ghar se ruKhsat kar to do, socho kis ke ghar jaayegii tanhaa_ii , viiraanaa huu.N aabaadii se aayaa huu.N, dekhegii to Dar jaayegii tanhaa_ii , yuu.N aao ki paao.n kii bhii aavaaz na ho, shor huaa to mar jaayegii tanhaa_ii .

Majabuurii ke mausam me.n bhii jiinaa pa.Dataa hai,

Majabuurii ke mausam me.n bhii jiinaa pa.Dataa hai, tho.Daa saa samajhautaa jaanam karanaa pa.Dataa hai , kabhii kabhii kuchh is had tak ba.Dh jaatii hai laachaarii, lagataa hai ye jiivan jaise bojh ho ko_ii bhaarii, dil kahataa hai roye.n lekin ha.Nsanaa pa.Dataa hai  kabhii kabhii itanii dhundhalii ho jaatii hai.n tasviire.n, pataa nahii.n chalataa qadamo.n me.n kitanii hai.n zanjiire.n, paa.Nv ba.Ndhe hote hai.n lekin chalanaa pa.Dataa hai , ruuTh ke jaane vaale baadal TuuTane vaalaa taaraa, kis ko Khabar kin lamho.n me.n ban jaaye kaun sahaaraa, duniyaa jaisii bhii ho rishtaa rakhanaa pa.Dataa hai .

Kyaa ummiid kare ham un se jin ko vafaa maaluum nahii.n,

Kyaa ummiid kare ham un se jin ko vafaa maaluum nahii.n, Gam denaa maaluum hai lekin Gam kii davaa maaluum nahii.n , jin kii galii me.n umr ga.Nvaa dii jiivan bhar hairaan rahe, paas bhii aake paas na aaye jaan ke bhii a.njaan rahe, kaun sii aaKhir kii thii hamane aisii Khataa maaluum nahii.n , ai mere paagal armaano.n jhuuThe ba.ndhan to.D bhii do, ai merii zaKhmii ummiido.n dil kaa daaman chho.D bhii do, tum ko abhii is nagarii me.n jiine kii sazaa maaluum nahii.n ,

Jab merii yaad sataaye to mujhe Khat likhanaa,

Jab merii yaad sataaye to mujhe Khat likhanaa, tum ko jab niind na aaye to mujhe Khat likhanaa, niile pe.Do.n kii ghanii chaa.Nv me.n ha.Nsataa saavan, pyaasii dhartii me.n samaane ko tarasataa saavan, raat bhar chhat pe lagaataar barasataa saavan, dil me.n jab aag lagaaye to mujhe Khat likhanaa, jab pha.Dak uThe kisii shaaKh pe pattaa ko_ii, gud_gudaaye tumhe.n biitaa huaa lamhaa ko_ii jab merii yaad kaa bechain safiinaa ko_ii jii ko rah rah ke jalaaye to mujhe Khat likhanaa, jab nigaaho.n ke liye ko_ii nazaaraa na rahe, chaa.Nd chhip jaaye gagan par ko_ii sahaaraa na rahe, log ho jaaye.n paraaye to mujhe Khat likhanaa,

Hameshaa hai vasl-o-judaa_ii kaa dhandhaa,

Hameshaa hai vasl-o-judaa_ii kaa dhandhaa, buto.n kii hai ulfat Khudaa_ii kaa dhandhaa , agar baiThe rindo.n kii sohabat me.n zaahid, to de.n chho.D sab paarasaa_ii kaa dhandhaa , [rind = one who drinks; sohabat = company] [zaahid = preacher/religious man; paarasaa_ii = self-restraint] jo honaa hai aaKhir vo hokar rahegaa, kare kaun baKht_aazamaa_ii kaa dhandhaa , [baKht_aazamaa_ii = testing ones fate/luck] pareshaa.N rahii umr bhar par na chho.Daa, terii zulf ne kaj_adaa_ii kaa dhandhaa , [kaj_adaa_ii = crookedness (curliness)] mubaarak ra_iiso.n ko kaar-e-riyaasat, gadaa ko hai kaafii gadaa_ii kaa dhandhaa , [gadaa = beggar; gadaa_ii = begging] nahii.n Khizr ke piichhe gar aur jhaga.De, to hai saath ik rah_numaa_ii kaa dhandhaa , [rah_numaa_ii = guidance/to show the path] Zafar is se bahatar hai naa_aashanaa_ii, ki mushkil hai ye aashanaa_ii kaa dhandhaa .

Din ko bhii itanaa a.Ndheraa hai mere kamare me.n,

Din ko bhii itanaa a.Ndheraa hai mere kamare me.n, saayaa aate hue Darataa hai mere kamare me.n , Gham thakaa haaraa musaafir hai chalaa jaayegaa, kuchh dino.n ke liye Thaharaa hai mere kamare me.n , subah tak dekhana afasaanaa banaa Daalegaa, tujh ko ek shaKhs ne dekhaa hai mere kamare me.n , dar_ba_dar din ko bhaTakataa hai tasavvur meraa, haa.N magar raat ko rahataa hai mere kamare me.n , chor baiThaa hai kahaa.N soch rahaa huu.N mai.n Zafar kyaa ko_ii aur bhii kamaraa hai mere kamare me.n .

Mausam ko isharo'n se bula kyu'n nahin lete,

Mausam ko isharo'n se bula kyu'n nahin lete,  Rootha hai agar wo to mana kyu'n nahin lete,  Deewana tumhara koi ghair nahin hai, Machla bhi to seene se laga kyu'n nahin lete,  Khat likh kar kabhi aur kabhi khat ko jala kar,  Tanhayi ko rangeen bana kyu'n nahin lete,  Tum jaag rahe ho mujh ko achha nahin lagta,  Chupke se meri neend chura kyu'n nahin lete. 

Mile kisi se nazar tu samjho Ghazal hui

Mile kisi se nazar tu samjho Ghazal hui  Rahe apani Khabar tu samjho Ghazal hui  Mila ke nazron ko wo haya se phir  Jhuka le koi nazar tu samjho Ghazal hui  Idhar machal kar unhain pukare junoon mera  Bharak uthe dil udhar tu samjho Ghazal hui  Udas bistar ki silwatain jab tumhain chubhain  Na so sako rat bhar tu samjho Ghazal hui  Wo badguman ho tu shair soojhe na shayari  Wo maharban ho `Zafar` tu samjho Ghazal hui 

Booye gul ke baare me'n chandni ke baare me'n

Booye gul ke baare me'n chandni ke baare me'n Baat achchi lagti hai zindagi ke baare me'n Us ke roop ka saagar char simt chhalka hai Mera tabsara yeh hai roshni ke baare me'n Aur bhi to chehre hai'n jin se dil ka rishta hai Saari guftagu aakhir kyo'n usi ke baare me'n Khush to ho gaye lekin dil me'n khauf bhi jaagaa Jab bhi hamne socha hai dosti ke baare me'n Zindagi se milte to tum pe zindagi khulti Tum ne sirf socha hai zindagi ke baare mei'n Ishq me'n "Zafar" sahab ho'nge karobari log Aap aisa na soche'n har kisi ke baare me'n

bulata raha hai zamana ,badal ke chaal mujhe

بلاتا رہا ہے زمانہ ،بدل کے چال مجھے پھر ایک بار، میرے رہنما سنبھال مجھے محبتو ں سے وہ خالی تھا تب ہی بدلے میں وہ دے رہا تھا ، زمینیں، کئی کنال مجھے زہر تو سچ میں بھی ہوتا ہے، بول کر تو دکھا تو جھوٹ بول کہ کرتا ہے کیوں حلال مجھے میری وفا کو جو ، جاگیر سمجھے بیٹھا ہے محبتوں سے کرے گا وہ کب نہال مجھے تو بے وفا ہے مگر چھوڑ کے نہ جا مجھ کو کہ مار ڈالے گا، یہ آخری ملال مجھے تمہارے بن نہیں رہ پاتا کیا کروں بولو وہ بھیجتا ہے لکھ کر یہ ہی سوال مجھے

Khushi ki chah mein phansty hi chalay jaty hein

خوشی کی چاہ میں پھنستے ہی چلے جاتے ہیں غموں کے جال میں کستے ہی چلے جاتے ہیں میں جب یہ کہتی ہوں وہ پیار بہت کرتا ہے تو لوگ ہنستے ہیں، ہنستے ہی چلے جاتے ہیں یہاں ستمگر ! بستے ہی چلے جاتے ہیں ہم ان کو دوست سمجھتے ہیں پیار کرتے ہیں وہ سانپ بن کر ڈستے ہی چلے جاتے ہیں تمہاری یاد ہے دلدل ہے، یا کہ صحرا ہے نکالوں پائوں تو دھنستے ہی چلے جاتے ہیں

aaj phir main ne koi hukam na mana us ka

آج پھر میں نے کوئی حکم نہ مانا اُس کا پڑ گیا خطرے میں،اندازِ شاہانہ وہ میرے دل سے،نکلنے کی سعی کرتا ہے کیسے سمجھائوں، یہ ہی تو ہے ٹھکانا اس کا کچھ مسائل تھے میرے کل اُسے بتلائے تھے قابلِ فہم ہی ہے، آج نہ آنا اُس کا جو فقط شاعری اعضا کی کیا کرتی ہے میں نے دیکھا ہے کہ عالم ہے دیوانہ اُس کا آج پھر یادوں نے بچوں کی طرح شور کیا آج پھر جاگ اٹھا، درد پُرانا اُس کا

Tamasha had se bahar ho gaya hai,

Tamasha had se bahar ho gaya hai, Yaha'n har shakhs PatTher ho gaya hai, Abhi tum ishq se ho faasle par, Magar! Haa'n pyar behtar ho gaya hai, Kisi ka dil dukhaya hai yaqinan, Shahanshah bhii gada gar ho gaya hai, Janoo'n kare zaya'n hargiz nahi hai, Kei k sahraa samundar ho gaya hai, Woh ik zarra baraber dared hasrat, Mere qad ke barabar ho gaya hai, Chalo mana! Ke tum naadim bahut ho, Magar yeh dil to patTher ho gaya hai, Tumhara dard thaa,khanjar nahii thaa, Hamare dil mei'n aaker ho gaya hai, Who jiska dil hazaro'n baar Toota, Suna hai ab qalander ho gaya hai, Dekhayee de raha hai chaar janib, Tumhara aks az ber ho gaya hai.

us ne bas itna kaha main ne socha kuch nahin

us ne bas itna kaha main ne socha kuch nahin main wahin pathra gya main ne socha kuch nahin koun hai kaisa hai woh mujh ko is se kya garz woh mujhe accha laga main se socha kuch nahin main bhi to insaan tha eik khami rah gai main ne jis ko dil dia main ne soch kuch nahin thi hararat khun mein aankh dhoka kha gai khun jalta hi raha main ne socha kuch nahin dosti or dushmani eik had per kuch nahin ajnabi tha aashna main ne socha kuch nahin us ki khatar sochna,sochna bhi raat din phir bhi mujh ko yun laga main ne soch kuch nahin nafratein thin saad  jee chahaton ke darmiyan chahaton mein kya hua main ne socha kuch nahin

rang utharnay mein bohat der lagi

rang utharnay mein bohat der lagi dil thaharnay mein bohat der lagi teri aankhon ki tarha gehra tha zakham bharnay mein bohat der lagi baat karna thi zara si tujh se baat karnay mein bohat der lagi kat gai raat tere khawabon mein din guzarnay mein bohat der lagi kab sameta tha kesi ne mujh ko kab bikharnay mein bohat der lagi zindagi  guzri hai pal mein meri saad marnay mein bohat der lagi

jane kis ne bant diye hein aa kar ghar ghar khawab

jane kis ne bant diye hein aa kar ghar ghar khawab sachi baat hai main ne dekhay khawab ke andar khawab main hoon eik haqeqat ya phir eik urta afsana andar mere jagraty hein aur hein baher khawab us ki yaad mein soya hoon totoot ke bikhra hoon main tha neend eik shishay jaisi aur woh pathar khawab jee kahta hai sharma kar woh aur bhi khil uthay ga chalo chalen phir dekhin is ko aaj suna kar khawab mujh se kahti hai dastak darwazay per a kar jagtay rahna lout na jaein neend se dar kar khawab

mohabbat pa ke dil khona pare ga kab yeh socha tha

mohabbat pa ke dil khona pare ga kab yeh socha tha humhee pathar numa hona pare ga kab yeh socha tha kabhi ki bhuj gain aankhon mein roshan sari tehririn humhee zulmat zada hona pare ga kab yeh socha tha lipat kar vasal se pyasi hein ab tak hijar ki jonkein laho pathar mein ab bona pare ga kab yeh yeh socha tha dararin rooh ki sari chatakhti ja rahi hein ab humhee bhi khak mein sona pare ga kab yeh socha tha batool iss dil ko maila kar dia us shakhs ne cho kar ab iss ko khun se dhona pare ga kab yeh socha tha

mohabbat mein koi almia accha nahin lagta

mohabbat mein koi almia accha nahin lagta wafa ke baab mein koi tajarba accha nahin lagta humhee accha to lagta hai jigar ke dard ko chona magar yeh dard jis ne bhi dia accha nahin lagta tumhee zid hai bhujanay ki jalana kho humhari hai humhee bhi taaq per bhujta dia accha nahin lagta naye rashty bana kar in pe chalna apni fitrat hai kesi ne jab inhein apna liya,accha nahin lagta bala se shehar sara may ko,may khanoon ko pi jaye magar yeh zehar us ne bhi piya accha nahin lagta humare sar pe rakh ker hath us ne jo qasam khai phir is ko toor kar bhi woh jiya accha nahin lagta

sambhalne ke liye girna para hai

sambhalne ke liye girna para hai humhee jeena bohat mahnga para hai raqam thin apne chehre per kharashin main samjha aaina tota para hai yeh kaisi roshni thi mere aandar ke mujh per dhoop ka saya para hai meri aankhon mein tum kyun jhankty ho tehoon mein aanson ki kya para hai hawaas-o-hosh hein bedar lakin zameer insaan ka soya para hai badan shoqeen kam perahni ke  dar-o-dewar per parda para hai utha tha zindagi per hath mera giraban per khud apne jaa para hai mohabbat  aansoon ki ghaat lay chal bohat din se dil maila para hai zameen naraz kuch hum se shayed para hai paaon hai jab ulta para hai dabo sakti nahin darya ki lahrin abhi paani mein eik tinka para hai muzafar ronaqein melon ka rasiya hajoom dard mein tanha para hai

Badli Badli si fiza lagti hai

badli badli si fiza lagti hai sari dunya hi khafa lagti hai dil ka darwaza khula chor dia tere qadmoom ki sada lagti hai sankaron ched hein is mein lakin kitni acchi yeh rida lagti hai teri qurbat mein jhuki si yeh nazar eik masoom dua lagti hai marhala mout ka mushkil hai magar zindagi is se siwa lagti hai ab ke rothay na manaya tum ne yeh bicharnay ki ada lagti hai kis ki aankhon ka asar hai yeh batool kaali kaali si ghata lagti hai

faisla yeh to kar waqt-e- safar se pehlay

faisla yeh to kar waqt-e- safar se pehlay aao gay shaam se pehlay ke sehar se pehlay husan taqseem kya jaye kidhar se pehlay her taraf se sada aai idhar se pehlay tere qadmoom ke nishan hein meri chahat pe faqt koi guzra na tha iss rah-e-guzar se pehlay mujh per ilzam-e- wafa theek per aye waja-e-wafa husan maloom na tha husan-e-nazar se pehlay is ki sorat bhi to subha ki sorat hai adem dekh li hum ne sehar waqt-e-sehar se pehlay

aya hoon sang-o-khasht ke anbar dekh kar

aya hoon sang-o-khasht ke anbar dekh kar khuf aa raha hai saya-e-dewar dekh kar aankhin khuli rahi hein meri intazar mein aaye na khawb deda-e-bedar dekh kar kya ilm tha phesalnay lagin gay mere qadam main tu chala tha rah ko humvaar dekh kar her koi parsai ki umda misaal tha dil khush hua hai eik gunahgar dekh kar yeh behissi bhi waqt-e-madad dekh li adem katra gya hai yaar ko bhi yaar dekh kar

Ajnabi tha woh mujh se milla bhi na tha

ajnabi tha woh mujh se milla bhi na tha uss sa lakin koi aashna bhi na tha is andharay mein kaise pouncha yahan dil mein mere ti jalta dia bhi na tha khul gai kaise zuban khlq ki us se koi rishta barmala bhi na tha janay woh hum se kyun chenapta rah gya bhed us per humara khula bhi na tha haq bajanib tha mujh se woh aghmaz mein us mere kuch essa gila bhi na tha haan baja hai woh accha na hoga magar tera majid kuch essa bura bhi na tha

dil se kheyal dost bhulaya na jaye ga

dil se kheyal dost bhulaya na jaye ga seenay mein daagh hai ke mitaya na jaye ga tum ko hazaar sharm sahi mujhe ko lakh zabt ulfat woh raaz hai ke chupaya na jaye ga mai tun-o zarf honsla ahl-e-bazm tang saqi se jaam bhar ke pilaya na jaye ga razi hein hum ke dost se ho dushmani magar dushman ko hum se dosti banaya na jaye ga bigdrin na baat baat pe kyun jante hain woh hum woh nahin ke hum ko manaya na jaye ga maqsood apna kuch na khula lakin is qadar yahi woh dhondty hein ke paya na jaye ga jhagroon mein ahl-e-dein ke na haali parhin bas aap qissa hazoor se yeh chukaya na jaye ga

eik tum ho ke her dil mein utar jaty ho

Koi khamosh ho jaye to

Kya hai zindagi

Main fana ho gya

Teez barish mein kabhi sard hawaon mein raha

Kuch mohabbat ka nasha pehlay hum ko tha Faraz

Dunya mere mizaj se thi mukhtalif bohat

Neend

Tum Khud-Ba-Khud Shamil Ho Gaye Meri Saanson Mein

Tum Khud-Ba-Khud Shamil Ho Gaye Meri Saanson Mein Hum Soch ke Karte To Phir Mohabbat Na Karte...!!!

Main Agar Chahoon Bhi Tou Shayad Na Likh Saku Un Lafzon Ko...!!!

Main Agar Chahoon Bhi Tou Shayad Na Likh Saku Un Lafzon Ko...!!! Jinhein Padh Kar Tum Samajh Sako Ke Mujhe Tumse Kitni Mohabbat Hai...!!!

Dur Rehne Walo Ne Aisa Sila Diya,

Dur Rehne Walo Ne Aisa Sila Diya,  Apni Yaado Se Hamko Rula Diya, Itna Bhi Matlabi Na Ho pyaar Kisi ka,  K Jab Chaha Yaad Kia Jab Chaha Bhula Diya!

Wafa

Koi khushi ki chah me roye Koi dukhon ki panah se roye Ajeeb silsila hai ishq aur  Mohabbat ka Koi wafa ke liye aur koi Wafa kar ke roye

Rooh

Kabhi dekh dhoop mein kharay shajar ko

Haqeeqat

Dil Nadar

Izhar-e-Tamanna

Waqt sab kuch chen leta hai

Main bhi tha apni mohabbat mein riyakar bohat

suna hoga kesi se

Kesi Bakhshish Ka Yeh Saaman Hua Phirta Hai

Kesi Bakhshish Ka Yeh Saaman Hua Phirta Hai  Shehar Sara Hi Pareshan Hua Phirta Hai Aik Barood Ki Jacket Aur Nara-E-Takbeer,  Rasta Khald Ka Aasan Hua Phirta Hai Kesa Aashiq Hai Tere Naam Pe Quban Hai Magar Teri Har Baat Se Anjan Hua Phirta Hai Shab Ko Shaitan Bhi Mange Panahain Jis Se Subh Who Sahib-E-Emaan Hua Phirta Hai Hum Ko Jakra Hai Yahan Jabar Ki Zanjeeron Ne Ab To Yeh Shehar Hi Zandaan Hua Phirta Hai Janay Kab Kon Kise Maar Day Kafir Keh Kar Shehar Ka Shehar Musalman Hua Phirta Hai

Yun bhi hua raat ko jab log so gaye,

Yun bhi hua raat ko jab log so gaye, Tanhayi aur main, teri baton mein kho gaye, Aa dekh tujhse log jo rehte they door door, Saaye mein teri yaad ke chup chaap so gaye, Hum woh jo sarey sheher ke kerte they faisley, Hum log teri chaah mein ruswaa bhi ho gaye, Tum kya gaye ke waqt ka ehsaas mar geya, Raaton ko jaagtey rahe aur din ko so gaye, Ab zindagi ki shelf mein dhoonda karain ge log, Arzaan huye hum itne ke nayaab ho gaye, Arshad wafaa ki raah main shiddat thi is qadar, Tujh se they kitne log jo rastey mein kho gaye..

Umer Raaigaa.n Kardi Tab Ye Baat Maani Hai

Umer Raaigaa.n Kardi Tab Ye Baat Maani Hai Mout Aur Mohabbat Ki Ek Hee Kahani Hai Khail Jo Bhi Tha Jaana.n Ab Hisaab Kia Karna Jeet Jis Kisi Ho Ham Ne Haar Maani Hai Vasl Per Bhee Naadim Thay Hijr Per Bhi Sharmindah Wo Bhi Raaigaani Thi Ye Bhi Raaigaani Hai Ye Mera Hunar Teri Khusbuoun Se Waabasta Mere Saaray Lafzon Per Teri Hukmarani Hai Jaanay Kon Shehzaadah Kab Chura Ke Le Jaaye Wo Jo Apne Aangan Mein Khusbuoun Ki Rani Hai

Main Khusnasebi Hon Teri Mujhy B Ras Hai Toh

Main Khusnasebi Hon Teri Mujhy B Ras Hai Toh Tera Libaas Hon Main Aur Mera Libaas Hai Toh Ajeeb Shai Hai Mohabbat Ke Hum Kahan Jaye Tere Pass Hon Main Be Mere Be Pass Hai Toh Main Nay Khud Ko Faramosh Kia Tere Liye Aam Hai Sara Jaha Mere Liye Khass Hai Toh Band Hoton Par Mere Reet Jami Jati Hai Mere Pass Hai Phir B Meri Pyas Hai Toh Darmiyan Tere Mere Jab Se Log Annay Lagaye Us K Baad Se Main Tanha Aur Be-Ass Hai Toh Tera Libaas Hon Main Or Mera Libaas Hai Toh Zamaana Hum Ko Judaa Kar Sake Nhn Mumkin Mohabbat Mein Jo Naakhun Hoon Main Toh Maas Hai Toh Door Ho Kar Bhi Nahin Hai Koi Doori Tere Qareeb Hoon Mein Mere Bhi Paas Hai Toh Ye Kon Tere Mere Darmiyan Hai Jana K Main Be Dard Main Hoon Or Mehwe-Yaas Hai Toh Zindagi Meri Tere Gird Ghoomti Hy Faqat Aam Hy Sara Jahan Mere Liye Ek Khaas Hy Toh Tera Libaas Hoon Main Or Mera Libaas Hai Tu Ajeeb Shai Hy Mohabbat Main Kahin Chala Jaon Tere Qareeb Hoon Main Or Meri Pyass Hy Toh Tera Libaas Hon Main Or Mera Lib...

Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay

Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay Sab Iraaday Sambhaal Kar Rakhay Kuch Naye Rang Hain Mohabbat Ke Kuch Puraanay Sambhaal Kar Rakhay Mausam-e-Ishq Teri Baarish Mein Khat Jo Bheegay Sambhaal Kar Rakhay Jin Ki Khushbu Udaas Karti Thi Wo Bhi Gajray Sambhaal Kar Rakhay Tujh Se Milnay Ke Aur Bichadnay Ke Saaray Khadshay Sambhaal Kar Rakhay Jab Hawaa Ka Mizaaj Barham Tha Ham Ne Pat’tay Sambhaal Kar Rakhay Aarzoo Ke Haseen Pinjray Mein Kuch Parinday Sambhaal Kar Rakhay Ham Ne Dil Ki Kitaab Mein Tere Saaray Waaday Sambhaal Kar Rakhay Tere Dukh Ke Tamaam Hee Mausam Ay Zamaanay Sambhaal Kar Rakhay Mere Khwaabon Ko Raakh Kar Daala Aur Apnay Sambhaal Kar Rakhay

Woh hain pass aur yaad aney lage hain,

Woh hain pass aur yaad aney lage hain, Mohabbat ke hosh ab thikaney lage hain, Suna hai humain woh bhulaney lage hain, To kya hum unhe yaad aney lage hain, Hattaye they jo raah se doston ki, Woh pathar mere ghar mein main aney lage hain, Woh phir mujhe yaad aney lage hain, Jinhe bhoolne mein zamaney lage hain, Yeh kehna tha unse mohabbat hai mujh ko, Yeh kehne mein mujh ko zamaney lage hain, Qayamaat yaqeenan ab qareeb agayi hai, Khumaar ab to masjid main jaaney lage hain..

Kahin mille to usay ye kehna !

Kahin mille to usay ye kehna ! faseel-e-nafrat gira raha hoon Ga’ay dinon ko bhula raha hoon Wo apne waday se phir gaya hai Mai apne wade nibha raha hun Kahin mile to usay ye kehna Na dil mai koi malal rakhe, Hamesha apna khyal rakhe! Apne ghum sare mujhko de day, Aur tamam khushiyan sambhal rakhe! Kahin mile to usay ye kehna Mai tanha sawan bita chuka hon, Mai sare arman jala chuka hon, Jo shole bharke thay khwahishon k Wo ansuon se bujha chka hoon

sHarTt

sHarTt !!! ……… ******** ………. !!! Ta’aluk torna chahay Too mujh ko chorna chahay To meri shart itni hai Tumen jo de chuka hon main Mujy Laota do wo sab kuch Mere Naame wo Chahat key Wo sab Tohfay mohabat key Wo Bheegi Dairy meri Wo Sari Shairy meri Sabhi wo Phool aur Pattiya’n Wo meethi Peyar ki Bate’n Kaho Laota sako gi Tum ??? Mere Wo Qeemti Lamhay Jo Tujh ko Sochtay Guzray Wo Pal jo Ek Qeyyamt thay Jo Rasta dekhtey Guzray Khuda ko Bhool ker Wo Din Jo Tujh ko Poojtay Guzray Kaho Laota Sako gi Tum ??? Hayya ki Chandni Day Di Jiya ki Ragni Day Di Labo’n ki Chashni Day Di Hina ki Roshni Day Di Tujhey to Zindagi Day Di Her Ek apni Khushi Day Di To phir Wo Zindagi meri Haan Bolo her Khushi meri Kaho Laota sako Gi Tum ??? Agr mumkin ho Aisa to Ta’aluk tor lena Tum Bhalay Phir Chor Dena Tum …!!

Tumhara Aakhri Khat Parh Kar Main Kuch Bad’Gumaan Sa Hoon

Tumhara Aakhri Khat Parh Kar Main Kuch Bad’Gumaan Sa Hoon Wo jis Mein tum nay Likha hai Kay “Tum Mujhko Agar Khush Dekhna Chaho, To Mujh Ko bhool Jana Ab, Mere Khat Bhi jala dena, Meri itni khwahish hai Kay Meri zindagi Mein Ab Tumhara naam Na Aye Main Chahti hoon Kay Sub tohfay, Jo Maine Tumko bheejay thy Kisi be-Deep qabristan Kay boseeda Pehlu Mein Daba dena” Yeh Uska Aakhri khat Parh Kar Main ab is soch Mein gum hoon Kay Woh Larki, jissay tanhaiyon say Khof ata tha Woh Kitni hosla-mand Ho Gai hai Main us Ko poochta hoon Kay Kabhi Socha Hai Kya Tu Ne, Kay Tere Baad Meri Zindagi Kaisy Basar Hogi? Main Kaisay Bhool Paaon Ga Wo Saari Meer Ki Nazmein Jo Tum Meri Muhabbat Mein Mujhe Arsaal Karti Thi Wo Ghaalib Kay Sabhi Ash’Aar Ragon Mein Dornay Phirnay Kay Qael To Nahi Lekin Mere Jazbaat Mein Shaamil, Mere Dil Mein Dharakty Hain, Mujhe ab khat Jo aatay Unhein Hargiz Nahi Parhta…

Rang bharty ho

Mera humsafar jo ajeeb hai

kho si gai hoon

Girnay se ek shajar ke

zakham-e-kehan ko hum ne to nazr-e-chaman kia

Banay hein kis tarha dushman kabhi dildar thay mere

Aye tair-e-bahar yeh woh gulistan nahin

Abhi tak yaad hai mousam humhee woh dilnawazi ka