Skip to main content

Jab merii yaad sataaye to mujhe Khat likhanaa,

Jab merii yaad sataaye to mujhe Khat likhanaa,
tum ko jab niind na aaye to mujhe Khat likhanaa,

niile pe.Do.n kii ghanii chaa.Nv me.n ha.Nsataa saavan,
pyaasii dhartii me.n samaane ko tarasataa saavan,
raat bhar chhat pe lagaataar barasataa saavan,
dil me.n jab aag lagaaye to mujhe Khat likhanaa,

jab pha.Dak uThe kisii shaaKh pe pattaa ko_ii,
gud_gudaaye tumhe.n biitaa huaa lamhaa ko_ii
jab merii yaad kaa bechain safiinaa ko_ii
jii ko rah rah ke jalaaye to mujhe Khat likhanaa,

jab nigaaho.n ke liye ko_ii nazaaraa na rahe,
chaa.Nd chhip jaaye gagan par ko_ii sahaaraa na rahe,
log ho jaaye.n paraaye to mujhe Khat likhanaa,

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng