Ghuroob hote huye soorajon ke pas rahe
Udas sham ki manind hum Udas rahe
Khandar sa aik makan takta hai raston ko
Na jane aaj kahan us ke gham shanas rahe
Bahar aai to saj dhaj ke ho gaye tayyar
Darakht sirf khizaon main be libas rahe
Mre khayal main toheen hai aqeedat ki
Samandaron main rahun aor labon pai pyas rahe
Yeh kah ke hogaye thode se be wafa hum bhi
Hamaisha koun muhabbat main devdas rahe.