Skip to main content

Booye gul ke baare me'n chandni ke baare me'n

Booye gul ke baare me'n chandni ke baare me'n
Baat achchi lagti hai zindagi ke baare me'n

Us ke roop ka saagar char simt chhalka hai
Mera tabsara yeh hai roshni ke baare me'n

Aur bhi to chehre hai'n jin se dil ka rishta hai
Saari guftagu aakhir kyo'n usi ke baare me'n

Khush to ho gaye lekin dil me'n khauf bhi jaagaa
Jab bhi hamne socha hai dosti ke baare me'n

Zindagi se milte to tum pe zindagi khulti
Tum ne sirf socha hai zindagi ke baare mei'n

Ishq me'n "Zafar" sahab ho'nge karobari log
Aap aisa na soche'n har kisi ke baare me'n

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.