mohabbat mein koi almia accha nahin lagta
wafa ke baab mein koi tajarba accha nahin lagta
humhee accha to lagta hai jigar ke dard ko chona
magar yeh dard jis ne bhi dia accha nahin lagta
tumhee zid hai bhujanay ki jalana kho humhari hai
humhee bhi taaq per bhujta dia accha nahin lagta
naye rashty bana kar in pe chalna apni fitrat hai
kesi ne jab inhein apna liya,accha nahin lagta
bala se shehar sara may ko,may khanoon ko pi jaye
magar yeh zehar us ne bhi piya accha nahin lagta
humare sar pe rakh ker hath us ne jo qasam khai
phir is ko toor kar bhi woh jiya accha nahin lagta