Skip to main content

us ne bas itna kaha main ne socha kuch nahin

us ne bas itna kaha main ne socha kuch nahin
main wahin pathra gya main ne socha kuch nahin

koun hai kaisa hai woh mujh ko is se kya garz
woh mujhe accha laga main se socha kuch nahin

main bhi to insaan tha eik khami rah gai
main ne jis ko dil dia main ne soch kuch nahin

thi hararat khun mein aankh dhoka kha gai
khun jalta hi raha main ne socha kuch nahin

dosti or dushmani eik had per kuch nahin
ajnabi tha aashna main ne socha kuch nahin

us ki khatar sochna,sochna bhi raat din
phir bhi mujh ko yun laga main ne soch kuch nahin

nafratein thin saad  jee chahaton ke darmiyan
chahaton mein kya hua main ne socha kuch nahin

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.