Skip to main content

Mausam ko isharo'n se bula kyu'n nahin lete,

Mausam ko isharo'n se bula kyu'n nahin lete, 
Rootha hai agar wo to mana kyu'n nahin lete, 

Deewana tumhara koi ghair nahin hai,
Machla bhi to seene se laga kyu'n nahin lete, 

Khat likh kar kabhi aur kabhi khat ko jala kar, 
Tanhayi ko rangeen bana kyu'n nahin lete, 

Tum jaag rahe ho mujh ko achha nahin lagta, 
Chupke se meri neend chura kyu'n nahin lete. 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.