Skip to main content

KUCH APNE BARE MAIN


KUCH APNE BARE MAIN

POOCHTE LOG MUJH SE HAIN AKSAR

KON HUN MAIN KAHAN SE AYA HUN

NAM KYA HAI MRA KAHAN KA HUN

KIS LIYE MAIN KHAMOSH RAHTA HUN

KUCH NAHIN KYUN KISI SE KAHTA HUN

MAIRE LAB PAR KHAMOSHIYAN KYUN HAIN

AB BATAO KE KYA KAHUN UNSE

KYA BATAUN MAIN APNE BARE MAIN

DARD KI SHAKH KA GULAB HUN MAIN

PATJHADON KA KAHIN SHABAB HUN MAIN

FIKR MAIN DOOBNA HAI KAM MERA

SOCH KI GAHRI KHAIYYAN MUJH MAIN

HUSN E BATIN KA MAIN PUJARI HUN

AASMAN KI BULANDIYAN CHOOKAR

LOuT  AAYA HUN PHIR ZAMINON PAR

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.