Skip to main content

Badli Badli si fiza lagti hai

badli badli si fiza lagti hai
sari dunya hi khafa lagti hai

dil ka darwaza khula chor dia
tere qadmoom ki sada lagti hai

sankaron ched hein is mein lakin
kitni acchi yeh rida lagti hai

teri qurbat mein jhuki si yeh nazar
eik masoom dua lagti hai

marhala mout ka mushkil hai magar
zindagi is se siwa lagti hai

ab ke rothay na manaya tum ne
yeh bicharnay ki ada lagti hai

kis ki aankhon ka asar hai yeh batool
kaali kaali si ghata lagti hai

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.