Meri zindagi mein yun aakar, door kyun jaa rahe ho
Mujhe ghair hi rehne do, tum apna kyun bana rahe ho
Tabeer mein jin khwabon ki.tum shamil hi nahi
Bolo phir aise khawab mujhe kyun dikha rahe ho
Agar pyar kar ke aise hi, hei mujhko chord jana
Batao phir pyar karna, mujhe kyun sikha rahe ho
Jahan se umeed bhi kam hei, aur aas bhi nahi baqi
Bolo na phir uss simat, chalte kyun jaa rahe ho
Meri qismat mein nahin ho,tum jaante bhi ho lekin
Phir bhi apne dil mein ,mujhe kyun basa rahe ho
Jiss hath mein na bani hei, lakeer koi mere naam ki
Phir uss hath ko mere haath mein,tum kyun thama rahe ho
Mein pehle bhi uth gaya tha jo gira tha iss dagar pe
Abh bhi rehne do zameen par, mujhe kyun utha rahe ho
Iss raste pe mein kho gaya tha pehle bhi mere humdum
Mujhe dhoondne ke waaste khudh ko kyun ganwa rahe ho
Meri ankhon mein hein ab ansoon, na kabhi hatam hone wale
Kash sun lete jab mein kehta tha, itna kyun hansa rahe ho
Meri choti si hei ik guzarish mere Khuda tu kabool kar le
Mujhko bhi tu paas bula le, agar tum usko bula rahe ho