Skip to main content

aya hoon sang-o-khasht ke anbar dekh kar

aya hoon sang-o-khasht ke anbar dekh kar
khuf aa raha hai saya-e-dewar dekh kar

aankhin khuli rahi hein meri intazar mein
aaye na khawb deda-e-bedar dekh kar

kya ilm tha phesalnay lagin gay mere qadam
main tu chala tha rah ko humvaar dekh kar

her koi parsai ki umda misaal tha
dil khush hua hai eik gunahgar dekh kar

yeh behissi bhi waqt-e-madad dekh li adem
katra gya hai yaar ko bhi yaar dekh kar

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.