Skip to main content

faisla yeh to kar waqt-e- safar se pehlay

faisla yeh to kar waqt-e- safar se pehlay
aao gay shaam se pehlay ke sehar se pehlay

husan taqseem kya jaye kidhar se pehlay
her taraf se sada aai idhar se pehlay

tere qadmoom ke nishan hein meri chahat pe faqt
koi guzra na tha iss rah-e-guzar se pehlay

mujh per ilzam-e- wafa theek per aye waja-e-wafa
husan maloom na tha husan-e-nazar se pehlay

is ki sorat bhi to subha ki sorat hai adem
dekh li hum ne sehar waqt-e-sehar se pehlay

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.