Tumhara Aakhri Khat Parh Kar
Main Kuch Bad’Gumaan Sa Hoon
Wo jis Mein tum nay Likha hai
Kay “Tum Mujhko Agar Khush Dekhna Chaho,
To Mujh Ko bhool Jana Ab,
Mere Khat Bhi jala dena,
Meri itni khwahish hai
Kay Meri zindagi Mein Ab Tumhara naam Na Aye
Main Chahti hoon Kay
Sub tohfay, Jo Maine Tumko bheejay thy
Kisi be-Deep qabristan Kay boseeda Pehlu Mein Daba dena”
Yeh Uska Aakhri khat Parh Kar
Main ab is soch Mein gum hoon
Kay Woh Larki, jissay tanhaiyon say Khof ata tha
Woh Kitni hosla-mand Ho Gai hai
Main us Ko poochta hoon Kay
Kabhi Socha Hai Kya Tu Ne,
Kay Tere Baad Meri Zindagi Kaisy Basar Hogi?
Main Kaisay Bhool Paaon Ga
Wo Saari Meer Ki Nazmein
Jo Tum Meri Muhabbat Mein
Mujhe Arsaal Karti Thi
Wo Ghaalib Kay Sabhi Ash’Aar
Ragon Mein Dornay Phirnay Kay Qael To Nahi Lekin
Mere Jazbaat Mein Shaamil,
Mere Dil Mein Dharakty Hain,
Mujhe ab khat Jo aatay
Unhein Hargiz Nahi Parhta…