Skip to main content

Mere baad kidhar jaayegii tanhaa_ii,

Mere baad kidhar jaayegii tanhaa_ii,
mai.n jo maraa to mar jaayegii tanhaa_ii ,

mai.n jab ro ro ke dariyaa ban jaa_uu.Ngaa,
us din paar utar jaayegii tanhaa_ii ,

tanhaa_ii ko ghar se ruKhsat kar to do,
socho kis ke ghar jaayegii tanhaa_ii ,

viiraanaa huu.N aabaadii se aayaa huu.N,
dekhegii to Dar jaayegii tanhaa_ii ,

yuu.N aao ki paao.n kii bhii aavaaz na ho,
shor huaa to mar jaayegii tanhaa_ii .

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.