Skip to main content

jane kis ne bant diye hein aa kar ghar ghar khawab

jane kis ne bant diye hein aa kar ghar ghar khawab
sachi baat hai main ne dekhay khawab ke andar khawab

main hoon eik haqeqat ya phir eik urta afsana
andar mere jagraty hein aur hein baher khawab

us ki yaad mein soya hoon totoot ke bikhra hoon
main tha neend eik shishay jaisi aur woh pathar khawab

jee kahta hai sharma kar woh aur bhi khil uthay ga
chalo chalen phir dekhin is ko aaj suna kar khawab

mujh se kahti hai dastak darwazay per a kar
jagtay rahna lout na jaein neend se dar kar khawab

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng