Skip to main content

Kesi Bakhshish Ka Yeh Saaman Hua Phirta Hai

Kesi Bakhshish Ka Yeh Saaman Hua Phirta Hai 
Shehar Sara Hi Pareshan Hua Phirta Hai

Aik Barood Ki Jacket Aur Nara-E-Takbeer, 
Rasta Khald Ka Aasan Hua Phirta Hai

Kesa Aashiq Hai Tere Naam Pe Quban Hai Magar
Teri Har Baat Se Anjan Hua Phirta Hai

Shab Ko Shaitan Bhi Mange Panahain Jis Se
Subh Who Sahib-E-Emaan Hua Phirta Hai

Hum Ko Jakra Hai Yahan Jabar Ki Zanjeeron Ne
Ab To Yeh Shehar Hi Zandaan Hua Phirta Hai

Janay Kab Kon Kise Maar Day Kafir Keh Kar
Shehar Ka Shehar Musalman Hua Phirta Hai

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.