Skip to main content

mohabbat pa ke dil khona pare ga kab yeh socha tha

mohabbat pa ke dil khona pare ga kab yeh socha tha
humhee pathar numa hona pare ga kab yeh socha tha

kabhi ki bhuj gain aankhon mein roshan sari tehririn
humhee zulmat zada hona pare ga kab yeh socha tha

lipat kar vasal se pyasi hein ab tak hijar ki jonkein
laho pathar mein ab bona pare ga kab yeh yeh socha tha

dararin rooh ki sari chatakhti ja rahi hein ab
humhee bhi khak mein sona pare ga kab yeh socha tha

batool iss dil ko maila kar dia us shakhs ne cho kar
ab iss ko khun se dhona pare ga kab yeh socha tha

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.