Skip to main content

sambhalne ke liye girna para hai

sambhalne ke liye girna para hai
humhee jeena bohat mahnga para hai

raqam thin apne chehre per kharashin
main samjha aaina tota para hai

yeh kaisi roshni thi mere aandar
ke mujh per dhoop ka saya para hai

meri aankhon mein tum kyun jhankty ho
tehoon mein aanson ki kya para hai

hawaas-o-hosh hein bedar lakin
zameer insaan ka soya para hai

badan shoqeen kam perahni ke 
dar-o-dewar per parda para hai

utha tha zindagi per hath mera
giraban per khud apne jaa para hai

mohabbat  aansoon ki ghaat lay chal
bohat din se dil maila para hai

zameen naraz kuch hum se shayed
para hai paaon hai jab ulta para hai

dabo sakti nahin darya ki lahrin
abhi paani mein eik tinka para hai

muzafar ronaqein melon ka rasiya
hajoom dard mein tanha para hai