Skip to main content

sooraj se jang karne ki badal ne than li

sooraj se jang karne ki badal ne than li
kahty hein iss janun hi ne phir is ki jaan li

phir ahad hum se kar ke nibhaya kesi ke sath
ik bar phir se hum ne mouqdar ki maan li

sehra main charon aur na chaon milli humhee
tab thak ke hum ne dhop ki chadar hi taan li

qudrat ki bant hoti hai kitni aajeb si
dil ko millay hein teer kesi ne kaman li

uss ne palat ke dekha hai jaty hoye batool
lagta hai zindagi ne achoti uthan li

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.