Skip to main content

Ajnabi tha woh mujh se milla bhi na tha

ajnabi tha woh mujh se milla bhi na tha
uss sa lakin koi aashna bhi na tha

is andharay mein kaise pouncha yahan
dil mein mere ti jalta dia bhi na tha

khul gai kaise zuban khlq ki
us se koi rishta barmala bhi na tha

janay woh hum se kyun chenapta rah gya
bhed us per humara khula bhi na tha

haq bajanib tha mujh se woh aghmaz mein
us mere kuch essa gila bhi na tha

haan baja hai woh accha na hoga magar
tera majid kuch essa bura bhi na tha

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng