Skip to main content

Posts

Showing posts from February, 2013

Mohabbat ek dua hai

محبت ایک دعا ہے تم مجھے بس یہ دعا دینا خطا کوئی جو ہو جائے کبھی لہجہ بدل جائے ضروری بات رہ جائے میرا چہرا بدل جائے اگر پہچان نہ پاؤں تمہیں گر جان نہ پاؤں دعا دینا محبت ایک دعا ہے تم مجھے بس یہ دعا دینا ستارے توڑ نہ پاؤں تمہارے کام نہ آؤں توازن جو نہ رہ پائے نظربندی نظر آئے اشارہ ہو شرارت کا کوئی دھوکا بصارت کا دعا دینا محبت ایک دعا ہے تم مجھے بس یہ دعا دینا میں تم سے کہہ نہیں پایا تمہارے نام کا سایہ میرے ہمراہ رہتا ہے مجھے ہر پل یہ کہتا ہے کوئی مشکل جو در آئے تصور میرا دھندلائے دعا دینا محبت ایک دعا ہے تم مجھے بس یہ دعا دینا 

youn to ghum sab ki zindagi mein hai

pagal ankhon wali ladki

Imtihaan hai khudaya ya Azab chal raha hai

Mila jo moqa to rok doonga jalal roz-e- Hisab tera

soz-e-Gam de mujhe usne ye irshaad kiyaa

soz-e-Gam de mujhe usne ye irshaad kiyaa jaa tujhe kashmakash-e-dahar se aazaad kiyaa vo kareN bhii to kin alfaaz meN teraa shikwa jinko terii nigah-e-lutf ne barbaad kiyaa itnaa maanuus huuN fitrat se kalii jab chaTkii jhuk ke maiNne ye kahaa, ”mujhse se kuchh irshaad kiyaa?” mujhko to hosh nahiiN, tum ko Khabar ho shaayad log kahte haiN ki tumne mujhko barbaad kiyaa

Qadam Insaan Ka

Hai Duaa Yaad Magar Harf-E-Duaa Yaad Nahii.N

Hai Duaa Yaad Magar Harf-E-Duaa Yaad Nahii.N Mere Nagmaat Ko A.Ndaaz-E-Navaa Yaad Nahii.N Mai.N Ne Palako.N Se Dar-E-Yaar Pe Dastak Dii Hai Mai.N Vo Saahil Huu.N Jise Ko_Ii Sadaa Yaad Nahii.N Mai.N Ne Jin Ke Liye Raaho.N Me.N Bichhayaa Thaa Lahuu Ham Se Kahate Hai.N Vahii Ahad-E-Vafaa Yaad Nahii.N Kaise Bhar Aa_Ii.N Sar-E-Shaam Kisii Kii Aa.Nkhe.N Kaise Tharraa_E Charaago.N Kii Ziyaa Yaad Nahii.N Sirf Dhu.Ndhalaa_Ii Sitaaro.N Kii Chamak Dekhii Hai Kab Huaa Kaun Huaa Kis Se Khafaa Yaad Nahii.N Zindagii Jabr-E-Musalasal Kii Tarah Katatii Hai Jaane Kis Jurm Kii Paa_Ii Hai Sazaa Yaad Nahii.N Aao Ik Sajdaa Kare.N Aalam-E-Madhahoshii Me.N Kahate Hai.N Ke "Sagar" Ko Khudaa Yaad Nahii.N

Mahfilain Lut Gayen Jazbat Ne Dam Tor Dia

Mahfilain Lut Gayen Jazbat Ne Dam Tor Dia Saaz Khamosh Hain Naghmaat Ne Dam Tor Dia Har Mussarat Gham-E- Deeroze Ka Unwaan Bani Waqt Ki God Main Lamhaat Ne Dam Tor Dia An Gint Mahfilain Mahroom Charaghan Hai Abhi Kon Kahta Hai Ke Zulmaat Ne Dam Tor Dia Aaj Phir Bujh Gaye Jal Jal Ke Umeedon Ke Charagh Aaj Phir Taaron Bhari Raat Ne Dam Tor Dia Jin Se Afsana -E -Hasti Mai Tasalsul Tha Kabhi In Mohabbat Ki Rawayaat Ne Dam Tor Dia Jhilmilatay Huay Ashkon Ki Lari Toot Gayi Jagmagati Huyi Barsaat Ne Dam Tor Dia Haaay Aadab-E- Mohabbat Ke Takazay Saghir Lab Hilay Aur Shikayaat Ne Dam Tor Dia

Teri Nazar Ka Rang Bahanon Ne Le Liya

Teri Nazar Ka Rang Bahanon Ne Le Liya Afsurdgi Ka Roop Taraano’n Ne Le Liya Jin Ko Bhari Bahaar Mein Ghunchay Na Keh Sake Woh Waaqeyaa Bhi Mere Fasaanon Ne Liya Shayed Milay Ga Qaryaa Mehtaab Mein Sakoon Ehl-E-Fard Ko Aese Gumaano’n Ne Le Liya Yazwaa’n Se Bacha Raha Tha Jalalat Ka Ek Lafz Us Ko Haram Ke Shokh Beyaano’n Ne Le Liya Teri Adaa Se Ho Na Saka Jis Ka Faisla Woh Zindagi Ka Raaz Fashaano’n Ne Le Liya Afsaana Hayaat Ki Takmeel Ho Gayi Apno’n Ne Le Liya Ke Begaano’n Ne Liya Bholi Nahin Woh Qos-E-Qazaah Ki Si Surtain Saghir Tumhain To Mast Dheyaano’n Ne Le Liya

Tum Aj Hanste Ho Hans Lo Mujh Par Ye Aamaish Na Bar Bar Hogi

Tum Aj Hanste Ho Hans Lo Mujh Par Ye Aamaish Na Bar Bar Hogi Main Janta Hun Mujhe Khabar Hai K Kal Faza Khushgawar Hogi Rahe Muhabbat Main Zindagi Bhar Rahegi Ye Kashamakash Barabar Na Tumko Qurbat Main Jit Hogi Na Mujhko Furqat Main Har Hogi Hazar Ulfat Sataye Lekin Mere Iradon Se Hai Ye Mumkin Agar Sharafat Ko Tumne Chera To Zindagi Tum Pe War Hogi

Duniya Mein Kaun Kaun Na Yak Baar Ho Gaya

Duniya Mein Kaun Kaun Na Yak Baar Ho Gaya Par Munh Phir Is Tarf Na Kiya Us Ne Jo Gaya Phirti Hai Meri Khaak Saba Dar-B-Dar Liye Ai Chashm-E-Ashkbaar Yeh Kya Tujh Ko Ho Gaya Aagah Is Jahaan Mein Nahin Ghair Be Khudaan Jaaga Wahi Idhar Se Jo Mund Ankh So Gaya Tufaan-E-Noah Ne To Dubai Zamin Faqt Main Nang-E-Khalq Saari Khudaai Dabo Gaya Barham Kahin Na Ho Gul-O-Bulbul Ki Asshti Darta Hun Aaj Baagh Mein Woh Tund Khu Gaya Waiz Kise Darawe Hai Yom-Ulhisab Se Giriya Mera To Naama-E-Aamal Dho Gaya Phulenge Is Zabaan Mein Bhi Gulzar-E-Maarfat Yaan Main Zamin-E-Sheir Mein Yeh Tukhm Bo Gaya Aya Na Aitdaal Par Hargiz Mazaaj-E-Dahar Main Garche Garm-O-Sard-E-Zamana Samo Gaya Ai Dard Jis Ki Ankh Khuli Is Jahan Mein Shabnam Ki Tara Jaan Ko Apni Woh Ro Gaya

Tujhi Ko Jo Yan Jalwa Farma Na Dekha

Tujhi Ko Jo Yan Jalwa Farma Na Dekha Barabar Hai Duniya Ko Dekha Na Dekha Mera Guncha-E-Dil Hai Woh Dil-Girifta K Jis Ko Kaso Ne Kabhi Wa Na Dekha Aziat, Musibat, Malamat, Balayen Tere Ishq Main Ham Ne Kya Kya Na Dekha Kiya Mujh Ko Dagon Sarw-E-Chiragan Kabho Tu Ne Akar Tamasha Na Dekha Tagaful Ne Tere Ye Kuch Din Dikhaye Idhar Tu Ne Lekin Na Dekha, Na Dekha Hijab-E-Rukh-E-Yar The Ap Hi Ham Khuli Ankh Jab, Koi Parda Na Dekha Shab-O-Roz Aye “Dard” Darapai Hun Us Ke Kaso Ne Jise Yan Samjha Na Dekha

Ek Se Silsile Hain Sab Hijr Ki Rut Bata Gai

Ek Se Silsile Hain Sab Hijr Ki Rut Bata Gai Phir Wahi Subah Ayegi Phir Wahi Sham A Gai Mere Lahu Main Jal Uthe Utne Hi Taza Dam Chirag Waqt Ki Sazishi Hawa Jitne Diye Bujha Gai Main Bhi Ba-Pas-E-Dostan Apne Khilaf Ho Gaya Ab Yahi Rasm-E-Dosti Mujhko Bhi Ras A Gai Tund Hawa K Jashn Main Log Gaye To The Magar Tan Se Koi Qaba Chini Sar Se Koi Rida Gai Dil-Zadgan K Qafile Dur Nikal Chuke Tamam Un Ki Talash Main Nigah Ab Jo Gai To Kya Gai Akhir-E-Shab Ki Dastan Aur Karen Bhi Kya Bayan Ek Hi Ah-E-Sard Thi Sare Diye Bujha Gai

Bedili Se Hansne Ko Khush-Dili Na Samjha Jaye

Bedili Se Hansne Ko Khush-Dili Na Samjha Jaye Ghum Se Jalte Chehre Ko Raushni Na Samjha Jaye Gaha Gaha Wahshat Main Ghar Ki Simt Jata Hun Isko Dasht-E-Hairat Se Wapsi Na Samjha Jaye Lakh Khushguman Duniya Bahimi Talluq Ko Dosti Kahen Lekin Dosti Na Samjha Jaye Ham To Bas Ye Kahte Hain Roz Jine Marne Ko Ap Chahen Kuch Samjhen Zindagi Na Samjha Jaye Khak Karne Walon Ki Kya Ajib Khwahish Thi Khak Hone Walon Ko Khak Hi Na Samjha Jaye

Hijar Ka Taara Doob Chala Hai Dhalne Lagi Hai Raat Wasi

Hijar Ka Taara Doob Chala Hai Dhalne Lagi Hai Raat Wasi Qatra Qatra Baras Rahi Hai Ashkon Ki Barsaat Wasi Tere Bad Ye Duniya Wale Mujh Ko Pagal Kar Den Gay Khushbo K Dais Men Mujh Ko Le Chal Apne Sath Wasi Yun Hi Chup Ki Mohar Laga Kar Kb Tak Ghum Sum Betho Gay Khamoshi Se Dam Ghut_Ta Hai Cherro Koi Bat Wasi Aj To Us Ka Chehra Bhi Kuch Badla Badla Lagta Hai Mosam Badla, Duniya Badli, Badl Gay Haalat Wasi Mere Ghar Khushiyon Ka Ye Raqs Usi K Dam Se Hai Us K Sath Chali Jay Gi Pholoon Ki Baraat Wasi Chor Wasi Ab Us Ki Yaden Tujh Ko Pagal Kar Den Gi Tu Qatra Hai Wo Darya Hai Dekh Apni Auqaat Wasi

Kab Nahin Naaz Uthaye Hain Tumhare Mene

Kab Nahin Naaz Uthaye Hain Tumhare Mene Dekho Aanchal Pe Sajaye Hain Sitare Mene Wohi Lamhaat Asaasa Hain Mere Jeevan Ka Jo Tere Qurb Mein Lamhaat Guzaarey Mene Roz Aate Hain Mujhe Yaad Tere Zulm-O-Sitam Roz Khanjar Keyi Seeney Mein Utare Mene Har Bahana Tera Aankhon Mein Saja Kar Rakha Apne Seeney Se Lagaye Tere Laaray Mene Meri Pooron Se Mehek Ati Rahi Hai Din Bhar Jab Bhi Khawbon Mein Tere Baal Sanwarey Mene Teri Chokhatt Pe Keyi Baar Huyi Mujh Ko Shikast Teri Dehleez Pe Aansu Keyi Haarey Mene Meri Awaaz Akeli Hi Palat Kar Aayi Jab Musibat Mein Kabhi Yaar Pukarey Mene

Mere Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho

Mere Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho Najane Phir Wo Mera Ghumgusar Ho K Na Ho Yehi Buhat Hy K Ek Shakhs Chain Pa Jaey Bhale Darkht Buhat Saya Dar Ho K Na Ho Isi Gumaan Ne Kbhi Lotne Diya Na Mujhy Najane Usko Mera Intzar Ho K Na Ho Magr Ye Tyy Hai K Me Uske Gum Men Rehta Hun Mere Liye Wo Bhale BeQrar Ho K Na Ho Me Dhop Ban Nhi Sakta ‘WASI’Kisi K Liye Mere Liye Koi Abr E Bahar Ho K Na Ho

Fuluk Pay Chand Kay Haaly Bhe Sogh Kurty Hen

Fuluk Pay Chand Kay Haaly Bhe Sogh Kurty Hen Jo Tou Nahi Tu Ojaaly Bhe Sogh Kurty Hen Tomhary Hath Ki Chori Bhe Bain Kurti Hey Humary Honth Kay Naaly Bhe Sogh Kurty Hen Nughur Nughur Bekhry Hen Zolm Kay Munzur Humari Rooh Kay Chaaly Bhe Sogh Kurty Hen Ossy Kaho Kay Sittum Meah Koch Kumi Kur Day Kay Zolm Torny Walay Bhe Sogh Kurty Hen Tom Apny Dokh Pay Akaly Nahi Ho Afsordah Tomary Chahany Waaly Bhe Sogh Kurty Hen

Aaj Yun Mausam Ne Dee Jashn-E-Muhabbat Ki Khabar

Aaj Yun Mausam Ne Dee Jashn-E-Muhabbat Ki Khabar Phoot Ker Rone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum Hum Ney Joon Hi Ker Liya Mehsoos Manzil Hai Qareeb Raastey Khone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum Chaand Ki Kirno Ne Humko Is Tarah Bosa Diya Devta Hone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum Aaj Phir Mehroomiyon Ki Daastane Orh Ker Khak Mai Sone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum Kho Gaye Andaaz Bhi Awaz Bhi Alfaz Bhi Khamshi Dhone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum

Shauq Ko Aazime Safar Rakhiye

Shauq Ko Aazime Safar Rakhiye Bekhabar Banke Sab Khabar Rakhiye Chahe Nazrein Ho Aasmanon Par Paon Lekin Zameen Par Rahkhiye Baat Hai Kya Yeh Kaun Parkhega Aap Lehje Ko Purasar Rakhiye Jaane Kis Waqt Kooch Karna Ho Apna Saaman Mukhtasar Rakhiye Dil Ko Khud Dil Se Raah Hoti Hai Kis Liye Nam A Bar Rakhiye Baat Hai Kya Yeh Kon Parkhey Ga Aap Lehjey Ko Pur-Asar Rakhiye Aik Tuk Mujhko Dekhe Jati Hain Apni Nazron Pe Kuch Nazar Rakhiye

Mujh Ko Dolee Main Bitha Dar K Hawalay Kar Day

Mujh Ko Dolee Main Bitha Dar K Hawalay Kar Day Meri Maan Mujh Ko Muqadar K Hawalay Kar Day Aab Yah Ahsas K Duniya Main Mera Koi Nahe Janay Kab Mujh Ko Sumnadar K Hawalay Kar Day Is Qabeelay Se Nahe Main K Jo Apni Larky Jung K Khoof Se Laskar K Hawalay Kar Day Mujh Se Mil Kar Use Mahsos Howa Asay Jasay Khudh Ko Koi Pather K Hawalay Kar Day Ghomanay Phirnay Ka Hal Rakhti Hay Phir B Titali Kis Lie Khudh Ko Gule Tar K Hawalay Kar Day Kahli Kamrae Main Paray Rahnay Se Bahtar Ho Ga Aye Qamar Khudh Ko Bharay Ghar K Hawlay Kar Day

Aankhon Mein Kisi Yaad Ka Ras Ghol Rahi Hun

Aankhon Mein Kisi Yaad Ka Ras Ghol Rahi Hun Uljhay Hoay Paloo Say Girah Khol Rahi Hun Woh Aay Khareeday Mughay Pinjray Mein Bitha Day Mein Bhaag Mein Kisi Mayna Ki Tarah Bol Rahi Hun Hur Baar Hoa Hay Meray Nuqsaan Ka Sauda Kehnay Ko Hamaysha Say Mein Anmol Rahi Hun

Us Ka Chehra Bhi Sunata Hai Kahani Us Ki

Us Ka Chehra Bhi Sunata Hai Kahani Us Ki Chahti Hoon Ke Sunoon Us Se Zubaani Us Ki Woh Sitam’gar Hai To Ab Us Se Shikayat Kesi Aur Sitam Karna Bhi Aadat Purani Us Ki Besh-Qeemat Hai Yeh Moti Se Meri Palkon Per Chand Aansu Hain Mere Pass Nishani Us Ki Us Jafaa-Kaar Ko Maloom Nahin Woh Kya Hai Be-Murawat Ko Hai Tasveer Dikhani Us Ki Aik Woh Hai Nazar Andaaz Kare Hai Mujh Ko Aik Mein Hoon Ke Dil-O-Jaan Se Deewani Us Ki Tum Ko Ulfat Hai Qamar Us Se To Ab Keh Dena Samne Sab Ke Sunaa Dena Kahani Us Ki

Dipak Rag Hai Chahat Apni Kahe Sunayen Tumhen

Dipak Rag Hai Chahat Apni Kahe Sunayen Tumhen Hum To Sulagte Hi Rahte Hain Kyon Sulgayen Tumhen Tark-E-Muhabbat, Tark-E-Tamanna Kar Chukne K Bad Ham Pe Ye Mushkil An Pari Hai Kaise Bulayen Tumhen Sannata Jab Tanhai K Zahar Mein Bujhta Hai Wo Ghariyan Kyon Kar Katti Hain Kaise Batayen Tumhen Jin Baton Ne Pyar Tumhara Nafrat Mein Badla Dar Lagta Hai Wo Baten Bhi Bhul Na Jayen Tumhena

Kahin Dekhi Hai Shayad Teri Surat Is Se Pahle Bhi

Kahin Dekhi Hai Shayad Teri Surat Is Se Pahle Bhi K Guzri Hai Mere Dil Pe Ye Halat Is Se Pahle Bhi Na Jane Kitne Jalwe Pesh-Rau The Tere Jalwon K Tujhi Se Barha Ki Hai Mohabbat Is Se Pahle Bhi Sunati Hain Koi Afsana Teri Sahmagin Nazaren Hui Hai Mujhse Gustakhana Jurat Is Se Pahle Bhi Meri Qismat K Main Is Daur Mein Badnam Hun Warna Wafadari Thi Shart-E-Admiyat Is Se Pahle Bhi

Aj Unhen Kuch Is Tarah Ji Khol Kar Dekha Kiye

Aj Unhen Kuch Is Tarah Ji Khol Kar Dekha Kiye Ek Hi Lamhe Mein Jaise Umr Bhar Dekha Kiye Dil Agar Betab Hai Dil Ka Muqaddar Hai Yahi Jis Qadar Thi Ham Ko Taufiq-E-Nazar Dekha Kiye Khudfaroshana Ada Thi Meri Surat Dekhna Apne Hi Jalwe Ba-Andaz-E-Digar Dekha Kiye Nashanas-E-Gam Faqat Dad-E-Hunar Dete Rahe Ham Mata-E-Gam Ko Ruswa-E-Hunar Dekha Kiye Dekhne Ka Ab Ye Alam Hai Koi Ho Ya Na Ho Ham Jidhar Dekha Kiye Pehron Udhar Dekha Kiye Husn Ko Dekha Hai Main Ne Husn Ki Khatir ?Hafeez? Warna Sab Apna Hi Mear-E-Nazar Dekha Kiyea

Ye Ab Khula Hai K Koi Bhi Manzar Mera Na Tha

Ye Ab Khula Hai K Koi Bhi Manzar Mera Na Tha Main Jis Mein Rah Raha Tha Wahi Ghar Mera Na Tha Main Jis Ko Ek Umr Sambhale Phira Kiya Mitti Bata Rahi Wo Paikar Mera Na Tha Mauj-E-Hawa-E-Shahar-E-Muqaddar Jawab De Dariya Mere Na The K Samandar Mera Na Tha Phir Bhi To Sangsar Kiya Ja Raha Hun Main Kahte Hain Nam Tak Sar-E-Mahzar Mera Na Tha Sab Log Apne Apne Qabilon K Sath The Ek Main Hi Tha K Koi Bhi Lashkar Mera Na Tha

Zara Si Der Ko Aaye The Khaawb Aankhon Mei

Zara Si Der Ko Aaye The Khaawb Aankhon Mei Phir Us Ke Bad Musalsal Azaab Aankhon Mei Wo Jis Ke Nam Ki Nisbat Se Raushani Tha Wujood Khattak Rahaa Hai Wohi Aaftaab Aankhon Mei Jinhen Mata-E-Dil-O-Jan Samajh Rahe The Ham Wo Aa’iine Bhi Hue Behijaab Aankhon Mei Ajab Tarah Ka Hai Mausam K Khak Urti Hai Wo Din Bhi The K Khile The Gulaab Aankhon Mei Mere Ghazaal Teri Wahshaton Ki Khair, K Hai Bahut Dinon Se Bahut Iztaraab Aankhon Mei Na Jane Kaisi Qayaamat Ka Peshkhema Hai Ye Uljhanen Teri Be-Intasaab Aankhon Mei

Zinda Rahen To Kya Hai Jo Mar Jayen Ham To Kya

Zinda Rahen To Kya Hai Jo Mar Jayen Ham To Kya Duniya Main Khamoshi Se Guzar Jayen Ham To Kya Hasti Hi Apni Kya Hai Zamane K Samne Ek Khwab Hain Jahan Main Bikhar Jayen Ham To Kya Ab Kaun Muntazir Hai Hamare Liye Wahan Sham A Gai Hai Laut K Ghar Jayen Ham To Kya Dil Ki Khalish To Sath Rahegi Tamam Umr Dariya-E-Gam K Par Utar Jayen Ham To Kya

Us Simt Mujh Ko Yar Ne Jane Nahin Diya

Us Simt Mujh Ko Yar Ne Jane Nahin Diya Ek Aur Shahar-E-Yar Main Ane Nahin Diya Kuch Aur Waqt Chahte The K Sochen Tere Liye Tune Wo Waqt Ham Ko Zamane Nahin Diya Manzil Hai Is Mahak Ki Kahan Kis Chaman Main Hai Is Ka Pata Safar Main Hawa Ne Nahin Diya Roka Ana Ne Kawish-E-Besud Se Mujhe Us But Ko Apna Hal Sunane Nahin Diya Hai Jis K Bad Ahad-E-Zawal-Ashna "Munir" Itna Kamal Ham Ko Khuda Ne Nahin Diya

Hamesha Der Kar Deta Hun Main

Hamesha Der Kar Deta Hun Main Zaruri Bat Kahni Ho Koi Wada Nibhana Ho Use Awaz Deni Ho Use Wapas Bulana Ho Hamesha Der Kar Deta Hun Main Madad Karni Ho Uski Yar Ki Dharas Bandhana Ho Bahut Derina Raston Par Kisi Se Milne Jana Ho Hamesha Der Kar Deta Hun Main Badalte Mausamon Ki Sair Main Dil Ko Lagana Ho Kisi Ko Yad Rakhna Ho Kisi Ko Bhul Jana Ho Hamesha Der Kar Deta Hun Main Kisi Ko Maut Se Pahle Kisi Gam Se Bachna Ho Haqiqat Aur Thi Kuch Us Ko Ja K Ye Batana Ho Hamesha Der Kar Deta Hun Main

Meri Sari Zindagi Ko Besamar Us Ne Kia

Meri Sari Zindagi Ko Besamar Us Ne Kia Umar Meri Thi Magar Is Ko Basar Us Ne Kia Main Bohat Kamzor Tha Is Mulk Mein Hijrat K Baad Per Mujhe Is Mulk Mein Kamzor Tar Us Ne Kia Rehber Mera Bana Gumrah Kerne K Liye Mujh Ko Seedhe Raastay Se Dar Badar Us Ne Kia Sheher Mein Wo Mo'ataber Meri Gawahi Se Huwa Phir Mujhe Is Sheher Mein Na Mo'atber Us Ne Kia Sheher Ko Us Ne Barbaad Ker K Rakh Dia Muneer Sheher Per Zulm Mere Naam Per Us Ne Kia

Wo Beirada Hi Sahi, Titlioon Mein Rehta Hai

Wo Beirada Hi Sahi, Titlioon Mein Rehta Hai Ke Mera Dil To Meri Muthioon Mein Rehta Hai Mein Apne Hath Se Dil Ka Ghala Daba Doon Gi Mere Khilaaf Yahi Shazishoon Mein Rehta Hai Bacha Ke Khud Ko Ghuzrna Mahaal Lagta Hai Tamam Shehar Mere Rastoon Mein Rehta Hai Meri Kitaab-E-Mohabbat Mein Uska Ziker Nahi Wo Khush Khayal Ghalat Fehmioon Mein Rehta Hai

Koi Mujhko Mera Bharpoor Saraapa Ladey

Koi Mujhko Mera Bharpoor Saraapa Ladey Mere Baazoo Meri Aankhen Mera Chehra La Dey Aisa Dariya Jo Kisi Aur Samandar Mai Girey Is Se Behter Hai Ke Mujhko Mera Sehra La Dey Kuchh Nahee Chahiye Tujh Se Meri Ai Umr-E-Rawan Mera Bachpan Mere Jugnoo Meri Gudia Laa Dey Jiski Aankhen Mujhe Ander Se Bhi Padh Sakti Hon Koi Chehra To Mere Sheher Mai Aisa La Dey Kishti-E-Jaan To Bhanwar Mai Hai Kai Barson Se Ai Khuda Ab To Dubo Dey Ya Kinara La Dey

Muujhko Ruswa Sar E Baazar Na Karwaya Karay

Muujhko Ruswa Sar E Baazar Na Karwaya Karay Kash Aansoo Meri Aankho'n Mai Hi Reh Jaya Karay Ai Hawa Mainay To Bas Uska Pata Puchha Tha Ab Kahani To Na Harr Baat Ki Ban Jaya Karay Bas Bohot Daikh Liye Khwaab Suhanay Din K Ab Wo Bato'n Ki Rifaqat Se Na Behlaya Karay Ikk Museebat To Nahi Tooti So Ab Iss Dil Se Jiss Musibat Ne Guzarna Hai Guzar Jaya Karay Jiss K Khaabo'n Ko Mai Aankho'n Mai Saja Kar Rakkhoo'n Usski Khushboo Kabhi Mujhko Bhi To Mehkaya Karay

Kuch Bhi Kar Guzarny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Kuch Bhi Kar Guzarny Mein Dair Kitni Lagti Hy? Barf Ky Pighalny Mein Dair Kitni Lagti Hy? Uss Ny Hans Kar Dekha To Muskura Diye Hum Bhi Zaat Sy Nikalny Mein Dair Kitni Lagti Hy? Hijar Ki Tamazat Sy Wasl Ky Alaao Tak Larkiyon Ky Jalny Mein Dair Kitni Lagti Hy? Baat Jaisi Be-Ma'ani Baat Aur Kia Ho Gi? Baat Ky Mukarny Mein Dair Kitni Lagti Hy? Za'am Kitna Karty Ho Ik Charagh Per Apny Aur Hawa Ky Chalny Mein Dair Kitni Lagti Hy? Jab Yaqeen Ki Banhon Per Shak Ky Paon Parr Jaen Choriyan Bikharny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Bohat Aaraam karna Chati Hun

Bohat Aaraam karna Chati Hun Yehi Ek kaam karna Chahti Hun Shaoor_E_AagahiAlmiaa Hai Ise Neelaam Karna Chati Hun Mein Apni Umer Ke Saaray Asaasay Tumhary Naam Karna Chahti Hun Tumharay Khaima_E_Khushbuu Mein Reh Kar Mein Subaah _o_shaam Karna Chahti Hun Charaaghon Se Hawaa Ke Dushmani Hai Ise Naakaam Karna Chahti Hun  

Theher Jaye, Magar Raat Katay

Theher Jaye, Magar Raat Katay Koi Soorat Ho Ke Barsaat Katay Khushbuuain Mujhko Qalam Karti Gayin Shaakh Dar Shaakh Mere Haath Katay Mouj-e-Gul Hai Ke Talwaar Koi Darmiaan Se Hee Manajaat Katay Harf Kiun Apne Ganwayein Jaa Kar Baat Se Phele Jahan Baat Katay Chaand ! Aa Mil Ke Manayein Ye Shab Aaj Ki Raat Tere Saath Katay Pooray Insaanon Mein Ghus Aayein Hain Sar Katay, Jism Katay, Zaat Katay

Tumhin The Badle Hue Ya Meri Nigahen Thin

Tumhin The Badle Hue Ya Meri Nigahen Thin Tumhari Nazron Se Lagta Tha Jaise Meri Bajaye Tumhare Ghar Main Koi Aur Shakhs Aya Hai Tumhare Ohad Ki Denen Tumhen Mubarak So Tum Ne Mera Swagat Usi Tarah Se Kiya Jo Afsaran-E-Hukumat K Aitaqad Main Hai Takallufan Mere Nazdik A K Baith Gaye Phir Ehtamam Se Mausam Ka Zikr Cher Diya Kuch Us K Bad Siyasat Ki Bat Bhi Nikli Adab Par Bhi Koi Do Char Tabsare Faramaye Magar Na Tum Ne Hamesha Ki Tarah Ye Pucha Kya Waqt Kaisa Guzarta Hai Tera Jan-E-Hayat Pahar Din Ki Aziyat Main Kitni Shiddat Hai Ujar Rat Ki Tanhai Kya Qayamat Hai Shabon Ki Sust Rawi Ka Tujhe Bhi Shikwa Hai Gam-E-Firaq K Qisse Nishat-E-Wasl Ka Zikr Rawayatan Hi Sahi Koi Bat To Karte

Hamare Darmiyan Aisa Koi Rishta Nahin Tha

Hamare Darmiyan Aisa Koi Rishta Nahin Tha Tere Shanon Pe Koi Chat Nahin Thi Mere Zimme Koi Angan Nahin Tha Koi Wada Teri Zanjir-E-Pa Banane Nahin Paya Kisi Iqrar Ne Meri Kalai Ko Nahin Thama Hawa-E-Dasht Ki Manind Tu Azad Tha Raste Teri Marzi K Tabe The Mujhe Bhi Apni Tanhai Pe Dekha Jaye To Pura Tasarruf Tha Magar Jab Aj Tu Ne Rasta Badla To Kuch Aisa Laga Mujh Ko K Jaise Tu Ne Mujh Se Bewafai Ki Harf E Taaza Naii Khushboo Mein Likha Chahta Hai Baab Ik Aur Mohabbat Ka Khula Chahta Hai Aik Lamhay Ki Tawajoo Nahi Hasil Uss Ki Aur Yeh Dil Keh Ussay Hud Say Siwa Chahta Hai Ik Hijaab Teh E Iqrar Hai Ma'nay Manay Warna Gul Ko Maloom Hai Kaya Dast E Saba Chahta Hai Rait He Rait Hai Iss Dil Mein Musafir Mairay Aur Yeah Sehra Taira Naqash E Qaf E Pa Chahta Hai Yehe Khamooshi Kai Rung Mein Zahir Ho Gi Aur Kuch Roz Keh Woh Shokh Khula Chahta Hai Raat Ko Maan Liya Dil Nay Muqadar Laykin Raat Kay Haath Pay Aab Koi Diya Chahta Hai Tairay Paymanay Mein Gardish Nahi Baqi Saqi Aur Tairi Bezam Sa...

Dil Gaya Tum Ne Liya Ham Kya Karen

Dil Gaya Tum Ne Liya Ham Kya Karen  Janevali Chiz Ka Gam Kya Karen Pure Honge Apne Arman Kis Tarah  Shauq Behad Waqt Hai Kam Kya Karen Baksh Den Pyar Ki Gustakhiyan  Dil Hi Qabu Main Nahin, Ham Kya Karen Tund Khu Hai Kab Sune Vo Dil Ki Bat  Aur Bhi Baraham Ko Baraham Kya Karen Ek Sagar Par Hai Apni Zindagi  Rafta Rafta Is Se Bhi Kam Kya Karen Kar Chuke Sab Apni-Apni Hikmaten  Dam Nikalta Hai Ai Mere Hamadam Kya Karen Dil Ne Sikha Sheva-E-Beganagi  Aise Namuharim Ko Muharim Kya Karen Mamala Hai Aj Husn-O-Ishq Ka  Dekhiye Vo Kya Karen Ham Kya Karen Kah Rahe Hain Ahal-E-Sifarish Mujhse "Dag"  Teri Qismat Hai Buri Ham Kya Karen  

Butan-E-Mahvash Ujri Hui Manzil Main Rahte Hain

Butan-E-Mahvash Ujri Hui Manzil Main Rahte Hain  K Jis Ki Jan Jati Hai Usi K Dil Main Rahte Hain Hazaron Hasraten Vo Hain K Rok Se Nahin Ruktin  Bahot Arman Aise Hain K Dil K Dil Main Rahte Hain Khuda Rakhe Muhabbat K Liye Abad Donon Ghar  Main Un K Dil Main Rahta Hun Vo Mere Dil Main Rahte Hain Zamin Par Panv Nakhvat Se Nahin Rakhte Pari-Paikar  Ye Goya Is Makan Ki Dusari Manzil Main Rahte Hain Koi Nam-O-Nishan Puche To Ai Qasid Bata Dena  Takhallus "Dag" Hai Aur Ashiqon K Dil Main Rahte Hain

Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi

Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi  Aap Se Tum Tum Se TU Honay Lagi Chahye Paighambar Dono Taraf  Lutf Kia Jab Du-Ba-Du Honay Lagi Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi  Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Honay Lagi Bay Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar  Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi Ab Tou Mil Kar Dekhye Kya Rang Ho  Phir Hamari Justajuu Honay Lagi “Daagh” Itraaye Howay Phirtay Hain Aaj  Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi

Angrai Par Angrai Leti Hai Rat Judai Ki

Angrai Par Angrai Leti Hai Rat Judai Ki  Tum Kya Samjho Tum Kya Jano Bat Meri Tanhai Ki Kaun Siyahi Ghol Raha Tha Waqt K Bahte Dariya Mein  Main Ne Ankh Jhuki Dekhi Hai Aj Kisi Harjai Ki Wasl Ki Rat Na Jane Kyun Israr Tha Unko Jane Par  Waqt Se Pahle Dub Gae Taron Ne Bari Danai Ki Urte Urte As Ka Panchi Dur Ufaq Mein Dub Gaya  Rote Rote Baith Gai Awaz Kisi Saudai Ki  

Pyas Wo Dil Ki Bujhane Kabhi Aya Bhi Nahin

Pyas Wo Dil Ki Bujhane Kabhi Aya Bhi Nahin  Kaisa Badal Hai Jiska Koi Saya Bhi Nahin Berukhi Is Se Bari Aur Bhala Kya Hogi  Ek Muddat Se Hamein Us Ne Sataya Bhi Nahin Roz Ata Hai Dar-E-Dil Pe Wo Dastak Dene  Aj Tak Hamne Jise Pas Bulaya Bhi Nahin Sun Liya Kaise Khuda Jane Zamane Bhar Ne  Wo Fasana Jo Kabhi Hamne Sunaya Bhi Nahin Tum To Shayar Ho 'Qateel' Aur Wo Ik Am Sa Shakhs  Us Ne Chaha Bhi Tujhe Aur Jataya Bhi Nahin  

Bechain Bahaaron Men Kyaa-Kyaa Hai Jaan Kii Khushbuu Aatii Hai

Bechain Bahaaron Men Kyaa-Kyaa Hai Jaan Kii Khushbuu Aatii Hai  Jo Phuul Mahakataa Hai Usase Tuufaan Kii Khushbuu Aatii Hai Kal Raat Dikhaa Ke Khvaab-E-Tarab So Sej Ko Suunaa Chhod Gayaa  Har Silavat Se Phir Aaj Usii Mehamaan Kii Khushbuu Aatii Hai Talkiin-E-Ibaadat Kii Hai Mujhe Yuun Terii Muqaddas Aankhon Ne  Ma.Ndir Ke Dariichon Se Jaise Lobaan Kii Khushbuu Aatii Hai Kuchh Aur Bhii Saansen Lene Par Majabuur-Saa Main Ho Jaataa Huun  Jab Itane Bade Jangal Men Kisii Insaan Kii Khushbuu Aatii Hai Kuchh Tuu Hii Mujhe Ab Samajhaa De Ai Kufr Duhaaii Hai Terii  Kyuun Shekh Ke Daaman Se Mujhako Imaan Kii Khushbuu Aatii Hai Darataa Huun Kahiin Is Aalam Men Jiine Se Na Munakir Ho Jaauun  Ahabaab Kii Baaton Se Mujhako Ehasaan Kii Khushbuu Aatii Hai

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay  Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kubhi Jaanay Waalay Kia Milay Ga Tujhe Bikhray Howay Khwaabon Ke Siwa ?  Ay Rait Pe Chaand Ki Tasveer Banaanay Waalay Sab Ne Pehna Tha Baday Shoq Se Kaghaz Ka Libaas  Jis Qadar Loog Thay Baarish Mein Nahaanay Waalay Mar Gaye Hum Tou Ye Qutbay Pe Likha Jaye Ga  So Gaye Aap Zamaanay Ko Jagaanay Waalay Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai “Qateel”  Jaanay Kis Dais Gaye Pyaar Nibhaanay Waalay ?

tum apne gird hisaaroN kaa silsilaa rakhnaa

tum apne gird hisaaroN kaa silsilaa rakhnaa  magar hamaare liye ko’ii raastaa rakhnaa (gird : around; hisaar : fence, fort) hazaar saanihe pardes meN guzarte haiN  jo ho sake to zaraa hamse raabitaa rakhnaa (saanihaa : accidents, raabitaa : contact) KhizaaN rakhegii daraKhtoN ko be-samar kab tak  guzar hii jaayegii ye rut bhii hauslaa rakhnaa (KhizaaN : autumn; be-samar : fruitless) ziyaadaa der “Zafar” zulm rah nahiiN saktaa  agar ab aayeN kaRe din to jii kaRaa rakhnaa

lamha-lamha hai baare-garaaN, bachaa lo mujhko

lamha-lamha hai baare-garaaN, bachaa lo mujhko  bekaraaN waqt ke malbe se nikaalo mujhko Khushk patta hii sahii, rauNd ke aage na baRho  maiN gaii rut kii nishaani hooN uThaalo mujhko Khud_pasaNdi kii KhalaaoN meN phirooN aavaara  is bulaNdi pe to yaaro na uchhaalo mujhko maiN rafaaqat kii ghaTa ban ke baras jaaooN  apnii tanhaaii ke saHraa meN bulaa lo mujhko bhaagatii bhiiRh ne jaane kise paamaal kiyaa  chiiKh kar ko_ii pukaara thaa, bachaa lo mujhko shab-e-taariiq ka pur_haul safar hai ''Sabir''  shamm-e-maNzil hooN, sar-e-raah jalaa lo mujhko

tumhari raah ki dewaar to hona nahi hum ko

tumhari raah ki dewaar to hona nahi hum ko  agar hum boojh ban jae'n, to dhona nahi hum ko hamari khush naseebi ha, tumhari aan par marna  agar hum mar gaye to dekhna rona nahi hum ko dubara jo ugao gay ,dubara fasal de'n gay hum  magar pathar diloo'n ke shehar me'n bona nahi hum ko kisi ki yaad se mahkay hai’n, iss dil ke baam o dar suno ay neend sun lo tum, nahi sona nahi hamko zafar hum zindagi hain, zindagi ik baar milti hai  agar mil jae'n hum tum ko, phr khona nahi hum ko

Falak Deta Hai Jin Ko Aish Un Ko Gham Bhi Hote Hain,

Falak Deta Hai Jin Ko Aish Un Ko Gham Bhi Hote Hain, Jahaan Bajte Hain Naq'qaare Wahaan Maatam Bhi Hote Hain, Gile Shikwe Kahaan Tak Hon Ge Aadhi Raat To Guzri, Parishaan Tum Bhi Hote Ho Parishaan Ham Bhi Hote Hain, Hamaare Aansuon Ki Aab-Daari Aur Hi Kuch Hai, Ki Yun Hone Ko Raushan Gauhar-E-Shabnam Bhi Hote Hain Hamaare Saath Hi Paida Hua Hai Ishq Are Naaseh, Judaayi Kis Tarah Se Ho Judaa Ho Ham Bhi Hote Hain, Tabiyat Ki Kazi Hargiz Mitaaye Se Nahi Mit'ti, Kabhi Seedhe Tumhaare Gesu-E-Pur-Kham Bhi Hote Hain ...

Lutf Wo Ishq Mein Paye Hain K Jee Janta Hai

Main Aur Harf -e- Shikwa, Ghalt , Ay Sanam Ghalt

Usi Ki DaastaaneiN HaiN, Usi Ki Qissa Khwani Hai

Hidayat Nama

Aafat Ki Shokiyaan Hain Tumhari Nigaahein

وں چلئے راہِ شوق میں جیسے ہوا چلے

وں چلئے راہِ شوق میں جیسے ہوا چلے  ہم بیٹھ بیٹھ  کر جو چلےبھی تو کیا چلے بیٹھے اُداس اُٹھے پریشان خفا چلے پوچھے تو کوئی آپ سے کیا آئے کیا چلے آئینگی ٹوٹ ٹوٹکر قاصد پر آفتیں غافل اِدھر اُدھر بھی ذرا دیکھتا چلے ہم ساتھ ہو لئے تو کہا اُس نے غیر سے آتا ہے کون اس سے کہو یہ جُدا چلے بالیں سے میرے آج وہ یہ کہہ کے اُٹھے گی اس پر دوا چلے نہ کسی کی دعا چلے موسیٰ کی طرح راہ میں پوچھی نہ راہ راست خاموش خضر ساتھ ہمارے چلا چلے افسانہء رقیب بھی لو بے اثر ہوا بگڑی جو سچ کہے سے وہاں جھوٹ کیا چلے رکھا دل و دماغ کو تو روک تھام کر اس عمر بیوفا پہ مرا زور کیا چلے بیٹھا ہے اعتکاف میں‌کیا داغ روزہ دار اے کاش میکدہ کو یہ مردِ خدا چلے !!!

ذرا وصل پر ہو اشارا تمہارا

ذرا وصل پر ہو اشارا تمہارا ابھی فیصلہ ہے ہمارا تمہارا دین و دنیا میں کافی ہے مجھ کو خدا کا بھروسا، سہارا تمہارا اُن آنکھوں کی آنکھوں سے لوں میں بلائیں میسر ہے جن کو نظارا تمہارا محبت کے دعوے ملے خاک میں سب وہ کہتے ہیں کیا ہے اجارا تمہارا رُکاوٹ نہ ہوتی تو دل ایک ہوتا تمہارا ہمارا، ہمارا تمہارا برائی جو کی تم نے غیروں کی ہم سے ہوا حال سب آشکارا تمہارا نکل کر مرے گھر سے یہ جان لو تم نہ ہوگا کسی گھر گذارا تمہارا سُنا ہے کسی اور کو چاہتاہے وہ دُشمن ہمارا، وہ پیارا تمہارا کریں گے سفارش ہم اے داغ اُن سے اگر ذکر آیا دوبارا تمہارا ...

Tu Paas Bhi Ho To Dil Beqaraar Apna Hai

Tu Paas Bhi Ho To Dil Beqaraar Apna Hai K Ham Ko Tera Nahi Intezar Apna Hai Woh Door Ho To Baja Terk-E- Dosti Ka Khiyal Woh Saamnay Ho Tu Kab Ikhtiyaar Apna Hai Zamanay Bhar K Dukhon Ko Laga Liya Dil Say Is Aasray Pay K Aik Ghamgusaar Apna Hai Milay Koi Bhi Tera Ziker Chair Daitay Hain K Jaisay Saara Jahan Raazdaar Apna Hai ...

Us Ko Juda Huay Bhi Zamana Bohat Hua,

Us Ko Juda Huay Bhi Zamana Bohat Hua, Ab Kya Kehein Ye Qissa Purana Bohat Hua, Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab -e- Firaq, Ay Marg -e- Nagahaan Tera Aana Bohat Hua, Hum Khuld Se Nikal To Gaye Hain Par Ay Khuda, Itne Se Waqiye Ka Fasana Bohat Hua, Ab Hum Hain Aur Saaray Zamaanay Ki Dushmani, Us se Zara Rabt Barhana Bohat Hua, Ab Kiyun Na Zindagi Pay Mohabbat Ko Waar Dain, Is Aashiqi Mein Jaan Se Jana Bohat Hua, To Dil Ka Dik Se Ta'arruf Na Ho Saka, Maana K Us Se Milna Milana Bohat Hua, Kya Kya Na Hum kharab Huay Hain Magar Ye Dil, Ay Yaad -e- Yaar Tera Thikana Bohat Hua, Kaha Tha Naasehon Se Mere Moonh Na Aaiyo, Phir Kya Tha Ek Hu Ka Bahana Bohat Hua, Lo Phir Tere Labon Pay Usi Be-Wafa Ka Zikr, "Ahmed Faraz" Tujh Se Kaha Na, Bohat Hua ...

Us Nay Kaha .... Sun

Us Nay Kaha .... Sun Ehad NibhaNay Ki khatir Mat Aana Ehad Nibhanay Walay Aksar majboori ya Mehjoori ki thakan say Louta Kartay hain Tum Jao ... Aur Dariya Dariya Piyaas Bujaao Jin Aankhon mein Doobo Jis Dil Mein Utro Meri Jalan Aawaaz Na Day Gi, Lekin Jab meri Chahat Aur meri khawaish Ki Lo Itni taiz Aur itni Oonchi Ho Jaye Jab Dil Ro Day Tab Laut Aana ...

Us Ne Sakoot e Shab Mein Bhi Apna Payaam Rakh Diya,

Us Ne Sakoot e Shab Mein Bhi Apna Payaam Rakh Diya, Hijr ki raat baam per maah -e- tamam rakh diya, Aamad e dost ki naveed koye wafa mein garam thi, Main nay bhi ik charaagh sa dil sar -e- shaam rakh diya, Shiddat -e- tishnagi mein bhi gherat -e- May-kashi rahi, Us ne jo phaink di nazar, main ne bhi jaam rakh diya, Us ne nazar nazar mein hi aisay bhalay sukhan kehay, Main nay bhi us k paoon mein sara kalaam rakh diya, Dekho ye mere khuwab thay, dekho ye mere zakham hein, Main ne to sab hisaab -e- jaa bar-sar-e-aam rakh diye, Jo bhi mila us ka dil halqa bagoosh yaar tha, Us ne to saaray shahar ko kar k ghulam rakh diya, Aur Faraz Chayiyen kitni mohabbatain tujhe, Maaon Ne Tere Naam Par Bachon Ka Naam Rakh Diya ...

Wafa K Khuwab Mohabbat Ka Aasra Lay Ja,

Wafa K Khuwab Mohabbat Ka Aasra Lay Ja, Agar Chala Hai To Jo Kuch Mujhe Diya, Lay Ja, Muqaam -e- Sood-o- Ziyaan Aa Gaya Hai Phir Jaana, Ye Zakhm Mujhe Sahi, Teer Tu Utha Lay Ja, Yehi Hai Qismat -e- Sehra, Yehi Karam Tera, K Boond Boond Ataa Kar, Ghata Ghat Lay Ja, Gharoor -e- Dost Se Itna Bhi Dil-Sikashta Na Ho, Phir Us K Saamnay Damaan-e- Ilteja Lay Ja, Nidaamatein Hon To Sar-e-Baar Dosh Hota Hai, Faraz Jaan K Iwazz Aabru Bacha Lay Ja ...

Ye Alam Shauq Ka Dekha Na Jaye,

Ye Alam Shauq Ka Dekha Na Jaye, Wo But Hai Ya Khuda Dekha Na Jaye, Yeh Kin Nazroon Say Tu Nay Aaj Dekha, K Tera Dekhna Dakha Na Jaye, Hamesha K Liye Mujh Say Bichar Ja, Ye Manzar Barha Dekha Na Jaye, Ghalat Hai Suna Par Aazma Kar, Tujhe Ay Be-Wafa Dekha Na Jaye, Ye Mehroomi Nahi Paas-E-Wafa Hai, Koi Aur Tare Siwa Dekha Na Jaye,, Yehi To Aashna Bantay Hain Aakhir, Koi Na Aashna Dekha Na Jaye, Faraz Apne Siwa Hai Kaun Tera, Tujhe Tujh Se Juda Dekha Na Jaye ...

Dilon Mein Sama Nahi Sakti ....

Dilon Mein Sama Nahi Sakti ..... Labon Pe Rukti, Dilon Mai Sama Nahi Sakti Wo Ek Baat Jo Lafzon Main Aa Nahi Sakti Jo Dil Main Ho Nazar-e-Gham To Ashq Paani Hai K Aag Khaak Ko Kundan Bana Nahi Sakti Yaqeen, Gumaan Se Bahar To Ho Nahi Sakta Nazar Khayaal Se Aagey To Ja Nahi Sakti Dilon Ki Ramz Faqat Ehl-e-Dil Jaantey Hein Teri Samajh Mein Meri Baat Aa Nahi Sakti Ye Souz-e-Ishq To Goongey Ka Khuaab Hai Jesey Meri Zubaan Meri Haalat Bataa Nahi Sakti Simat Rahi Hai Mere Baazuon K Halqay Mein Haya K Boojh Se Palkein Utha Nahi Sakti Jo Keh Raha Hai Sulagta Hua Badan Us Ka, Bata Bhi Paati Nahi, Aur Chupa Nahi Sakti Ek Aise Hijar Ki Aatish Hai Mere Dil Mein Jesey Kisi Visal Ki Baarish Bujhaa Nahi Sakti To Jo Bhi Hona Hai, Amjad Yaheen Pe Hona Hai Zameen Madaar Se Bahar To Jaa Nahi Sakti

Un Jheel Say Gehri Aankhon Mein Ek Shaam Kaheen Aabaad To Ho,

Un Jheel Say Gehri Aankhon Mein Ek Shaam Kaheen Aabaad To Ho, Us Jheel Kinaaray Pal_Do_Pal, Ek Khuwaab Kaan_Yela Phool Khilay, Wo Phool Bahaa Dein Lehron Mein Ek Roz Kabhi Hum Shaam Dhalay, Us Phool K Behtay Rangon Mein, Jis Waqt Larazta Chaand Chalay ! Us Waqt Kaheen In Aankhon Mein us Bisray Pal Ki Yaad To Ho Un Jheel Say Gehri Aankhon Mein Ek Shaam Kaheen Aabaad To Ho, Phir Chahey Umer Samundar Ki Har Mouj Pareshaan Ho Jaye Phir Chahey Aankh Dareechay Ki Har Khuwaab Gurezaa'n Ho Jaye Phir Chahey Phool K Chehrey Ka Har Dard Numaayaa'n Ho Jaye Us Jheel Kinaaray Pal_Do_Pal Wo Roop_Nagar Ejaad To Ho Din Raat Us Aaeenay Say Wo Aks Kabhi Azaad To Ho Un Jheel Say Gehri Aankhon Mein Ek Shaam Kaheen Aabaad To Ho ...

Kehnay ko us say mera koi waasta nahi

Kehnay ko us say mera koi waasta nahi Amjad magar woh shakhs mujhay bhoolta nahi Darta hoon aankh kholoon to manzar badal naa jaye Main jaag to raha hoon magar jaagta nahi Aashaftagi say uski usay bay wafa naa jaan Aadat ki baat aur hay dil ka bura nahi Tanha udaas chaand ko samjho naa bay_khabar Har baat sun raha hay magar bolta nahi Khamosh ratjagon ka dhuwaan tha chaar soo Nikla kub aaftaab mujhay to pata nahi Amjad woh aankhain jheel see gehri to hain magar Un main koi bhi aks meray naam ka nahi..

Andaaz Hu-Ba-Hu Teri Aawaaz-E-Pa Ka Tha,

Andaaz Hu-Ba-Hu Teri Aawaaz-E-Pa Ka Tha, Dekha Nikal Ke Ghar Se To Jhonka Hawa Ka Tha, Us Husn-E-Ittefaaq Pe Lut Kar Bhi Shaad Hun, Teri Raza Jo Thi, Woh Taqaaza Wafa Ka Tha, Dil Raakh Ho Chuka To Chamak Aur Barh Gayi, Yeh Teri Yaad Thi Ki Amal Keemiya Ka Tha, Is Rishta-E-Lateef Ke Asraar Kya Khulein, Tu Saamne Tha Aur Tassawwur Khuda Ka Tha, Chhup Chhup Ke Roun Aur Sar-E-Anjuman Hasoon, Mujh Ko Yeh Mashwara Mere Dard Aashna Ka Tha, Uttha Ajab Tazaad Se Insaan Ka Khameer, Aadi Fana Ka Tha Jo Pujaari Baqa Ka Tha, Toota To Kitne Aayina-Khaano Pe Jar Pari, Atka Hua Gale Mein Jo Patthar Sada Ka Tha, Hairaan Hun Ki Daar Se Kaise Bacha 'Nadeem', Woh Shakhs To Ghareeb-O-Ghuyoor Inteha Ka Tha ...

اسے اپنے کل ہی کی فکر تھی وہ جو میرا واقفِ حال تھا

اسے اپنے کل ہی کی فکر تھی وہ جو میرا واقفِ حال تھا وہ جو اسکی صبحِ عروج تھی وہ میرا وقتِ زوال تھا مرا درد کیسے وہ جانتا مری بات کیسے وہ مانتا وہ تو خود فنا ہی کے ساتھ تھا اسے روکنا بھی محال تھا وہ جو اسکے سامنے آگیا کسی روشنی میں نہا گیا عجب اسکی ہیبتِ حسن تھی عجب اسکا رنگِ جمال تھا دمِ واپسیں اسے کیا ہوا نہ وہ روشنی نہ وہ تازگی وہ ستارہ کیسے بکھر گیا وہ جو اپنی آپ مثال تھا وہ ملا تو صدیوں کے بعد بھی میرے لب پہ کوئی گلا نہ تھا اسے میری چپ نے رُلا دیا جسے گفتگو میں کمال تھا میرے ساتھ لگ کے وہ رودیا اور صرف اتنا ہی کہہ سکا جسے جانتا تھا میں زندگی وہ تو صرف وہم و خیال تھا

گُل ترا رنگ چرا لائے ہیں گلزاروں میں

گُل ترا رنگ چرا لائے ہیں گلزاروں   میں جل رہا ہوں بھری برسات کی بوچھاروں میں مجھ سے کترا کے نکل جا مگر اے جانِ جہاں! دل کی لَو دیکھ رہا ہوں ترے رخساروں میں مجھ کو نفرت سے نہیں پیار سے مصلوب کرو میں بھی شامل ہوں محبت کے گنہ گاروں میں حُسن بیگانۂ احساسِ جمال اچھا ہے غنچے کھِلتے ہیں تو بِک جاتے ہیں بازاروںمیں ذکر کرتے ہیں ترا مجھ سے بعنوانِ جفا چارہ گر پھول پرو لائے ہیں تلواروں میں میرے کِیسے میں تو اک سُوت کی انٹی بھی نہ تھی نام لکھوا دیا یوسف کے خریداروں میں رُت بدلتی ہے تو معیار بدل جاتے ہیں بلبلیں خار لیے پھرتی ہیں منقاروں میں چُن لے بازارِ ہنر سے کوئی بہروپ ندیمؔ اب تو فنکار بھی شامل ہیں اداکاروں میں !

Khuda Kare K Meri Arz-e-Pak Par Utray

Khuda Kare K Meri Arz-e-Pak Par Utray Wo Fasl-e-Gul Jisay Andesha-e-Zawal Na Ho Yahan Jo Phool Khilay, Wo Khila Rahay Sadiyon Yahan Khizan Ko Guzarnay Ki Bhi Majal Na Ho Yahan Jo Sabza Ugay Wo Hamesha Sabz Rahay Aur Aisa Sabz K Jis Ki Koi Misaal Na Ho Khuda Kare K Na Kham Ho Sar-e-Waqar-e-Watan Aur Is K Husn Ko Tashweesh-e-Mah-o-Saal Na Ho Har Aik Fard Ho Tehzeeb-o-Fun Ka Aoj-e-Kamal Koi Malol Na Ho Koi Khasta Haal Na Ho Khuda Kare K Mere Ik Bhi Ham Watan K Liye Hayat Jurm Na Ho Zindagi Wabal Na Ho ...

Ye Kya K Bayaan Sab Se Dil Ki Haalat'ain Karni

Ye Kya K Bayaan Sab Se Dil Ki Haalat'ain Karni FARAZ Tumko Na Aayin Mohabbat'ain Karni, Ye Qurb Kya Hai K Tu Saamnay Hai Aur Humain Shumaar Abhi Se Judai Ki Saa'atain Karni.. Koi Khuda Ho K Pathar Jisay Bhi Hum Chaa'hain Phir Tamaam Umr Usi Ki Ibaadat'ain Karni.. Hum Apny Dil Se Hain Majboor Aur Logon Ko Zara Si Baat Pe Barpa Qayamat'ain Karni.. Milayain Jab Un Se To Mubham Si Guftagu Karna..!! Phir Apny Aap Se So So Wazahat'ain Karni...

Ye Meri Nazmein, Ye Meri Ghazlein

Ye Meri Nazmein, Ye Meri Ghazlein Tamam Teri Hikayetein Hain Ye Tazkerey Tere Lutf Ke Hain Ye Shair Teri Shikayetein Hain Mein Sab Teri Nazr Kar Raha Hoon Yeh Un Zamanon Ki Saa Atein Hain Jo Zindagai Ke Naey Safar Mein  Tujhey Kisi Waqt Yaad Aaen To Eik Eik Hurf Ji Uthey Gaa  Pahan Ke Alfaaz Ki Qabaaen Udaas Tanhaaeeyon Ke Lamhon Mein Naach Uththen Gi Apsaraaen Mujhe Terey Dard Ke Alawa Bhi Aur Dukh They Yeh Maanta Hoon Mujhe Khabar Thi Ke Tere Aanchal Mein Dard Ki Reit Chaanta Hoon Magar Her Eik Baar Tujh Ko Choo Ker Yeh Reit Rang E Hina Bani Hai Yeh Zakhm Gulzar Ban Gaey Hain, Yeh Aahe Sozan Ghata Bani Hai Yeh Dard Moje Saba Huaa Hai, Yeh Aag Dil Ki Dawa Bani Hai Aur Ab Yeh Saari Mutaa E Hasti, Yeh Phool Yeh Zakhm Sab Tere Hain Yeh Dukh Ke Nohe, Yeh Sukh Ke Naghme, Jo Kal Mere They Voh Ab Tere Hain Jo Teri Furqat Teri Judaaee Mein  Kut Gaey Rozo Shab Tere Hain Voh Tera Shaair Tera Mughanni , Voh Jis Ki Baatein Ajeeb Si Theen Voh Jis Ke Je...

Zakhm Ko Phool To Sar Sar Ko Saba Kehtay Hain

Zakhm Ko Phool To Sar Sar Ko Saba Kehtay Hain Janay kya daur hai kya log hain kya kehtay hain kya qayamat hai k jin k liye ruk ruk k chalay Ab wohi log hamain aabla-pa kehtay hain koi batalao k ik umar ka bichara mehboob Ittefaaqan kaheen mil jaye to kya kehtay hain ? Ye bhi andaz-e-sukhan hai k jafa ko teri Gamza-o-ishva-o-andaz-o-adaa kehtay hain Jab talak door hai tu teri parastish kar lain Hum jisay chhu na sakain us ko Khuda kahte hain ....

Muntazir Kab Se Tahayyur Hai Teri Taqreer Ka

Muntazir Kab Se Tahayyur Hai Teri Taqreer Ka Baat Kar,Tujh Pe Gumaan Honay Laga Tasweer Ka Raat Kya Soye K Baaqi Umar ki Neend Urr Gai Khuwab Kya Dekha Dharkaa Lag Gaya Tabeer Ka Kaisay Paya Tha Tujhe, Phir Kis Tarha Khoya Tujhe Mujh Sa Munkir Bhi To Qayil Ho Gaya Taqdeer Ka Jis Tarha Badal Ka Saya Piyaas Bharkata Rahay Main Ne Ye Alam Bhi Dekha Hai Teri Tasweer Ka Ishq Mein Sar Porhna Bhi Kya, K Ye Be-Mehar Log Joye Khoon Ko Naam De Dety Hain Joye Sheer Ka Jis Ko Bhi Chaha Usy Shiddat Se Chaha Hai Faraz Silsilah Toota Nahi Hai Dard Ki Zanjeer Ka ...

Jo Chal Sako To Koi Aisi Chaal Chal Jaana,

Jo Chal Sako To Koi Aisi Chaal Chal Jaana, Mujhe Gumaan Bhi Na Ho Aur Tum Badal Jaana, Yeh Sho'lagi Ho Badan Ki To Kya Kiya Jaye. So Laazmi Tha Tere Pairahan Ka Jal Jaana, TumheeN Karo Koi Darmaan Yeh Waqt Aa Pohncha, Ke Ab To Chaara-Garon Ko Bhi Haath Mal Jaana, Abhi Abhi To Judaai Ki Shaam Aaye Thi, Humain Ajeeb Laga Zindagi Ka Dhall Jaana, Saji Sajaaye Hui Maut Zindagi To Nahi, Mo'arrikhon Ne Maqaaber Ko Bhi Mahal Jaana, Ye Kya Ke Tu Bhi Issi Saayat-E-Zawaal Main Hai, Ke Jiss Tarah Se Sabhi Soorajon Ko Dhall Jaana, Har Ek Ishq Ke Baad Aur Uss Ke Ishq Ke Baad, 'Faraz' Itna Bhi Aasaan Na Tha Sambhal Jaana ...

Tujh Say Mil Kar Bhi Kuch Khafa Hain Hum,

Tujh Say Mil Kar Bhi Kuch Khafa Hain Hum, Be- Murawwat Nahin To Aur Kya Hain Hum, Hum Gham-E-Kaarwan Mein Behte The, Log Samjhe Ki Shikasta-Paa Hain Hum, Is Tarah Se Hamein Raqeeb Mile, Jaise Muddat Ke Aashna Hain Hum, Raakh Hain Hum Agar Ye Aag Bujhe, Juz Dard-O-Gham Ka Aur Kya Hain Hum, Khud Ko Sunte Hain Is Tarah Jaise Waqt Ki Aakhri Saada Haain Hum, Kyon Zamane Ko Ilzaam Dein 'Faraz' Wo Nahi Hain To Be-Wafa Hain Hum ...

Har Koi Dil Ki Hatheli Pay Hai Sehra Rakhe,

Har Koi Dil Ki Hatheli Pay Hai Sehra Rakhe, Kis Ko Sairaab Kare Wo Kise Pyasa Rakhe, Umar Bhar Kaun Nibhata Hai Ta'alluq Itna, Ay Meri Jaan Ke Dushman Tujhe Allah Rakhe, Hum Ko Acha Nahin Lagta Koi Hum Nam Tera, Koi Tujh Sa Ho Tu Pir Nam Bhi Tera Rakhe, Dil Bhi Pagal Hai Ke Us Shakhs Se Waabasta Hai, Kisi Aur Ka Hone De Na Apnaa Rakhe, Kam Nahin Tuma Ebadat Bhi To Hirs-E-Zar Se, Fuqr To Wo Hai Ke Jo Deen Na Duniya Rakhe, Huns Na Itna Bhi Faqeeroon Ke Akele-Pan Par, Ja Khuda Meri Tarah Tujh Ko Bhi Tanha Rakhe, Ye Qinna'at Hai Ata'at Hai Ke Chaahat Hai 'Faraz' Hum To Raazi Hain Wo Jis Haal Main Jaisa Rakhe ...

Main Mar Mita To Woh Samjha Ye Inteha Thi Meri,

Main Mar Mita To Woh Samjha Ye Inteha Thi Meri, Usay Khabar Hi Na Thi, Khaak Keemiya Thi Meri, Main Chup Huwa To Woh Samjha Ke Baat Khatam Hui, Phir Uss Ke Baad To Aawaaz Jaa-Baja Thi Meri, Jo Taana-Zan Tha Meri Purshish-E-Dareedah Par, Usi Ke Dosh Pe Rakhkhi Huwi Quba Thi Meri, Main Uss Ko Yaad Karoon Bhi To Yaad Aata Nahi, Main Uss Ko Bhool Gaya Hoon Yahi Saza Thi Meri, Shikast De Gaya Apna Ghuroor Hi Uss Ko, Wagarna Uss Ke Muqaabil Bisaat Kya Thi Meri, Kaheen Dimagh Kaheen Dil Kaheen Badan Hi Badan, Har Ek Se Dosti Yaari Judaa Judaa Thi Meri, Main Uss Ko Dekta Rahta Tha Hairaton Se 'Faraz', Ye Zindagi Se Ta'aruff Ki Ibtedaa Thi Meri ...

اِس کا سوچا بھی نہ تھا اب کے جو تنہا گزری

اِس کا سوچا بھی نہ تھا اب کے جو تنہا گزری وہ قیامت ہی غنیمت تھی جو یکجا گزری آ گلے تجھ کو لگا لوں میرے پیارے دشمن اک مری بات نہیں تجھ پہ بھی کیا کیا گزری میں تو صحرا کی تپش، تشنہ لبی بھول گیا جو مرے ہم نفسوں پر لب ِدریا گزری آج کیا دیکھ کے بھر آئی ہیں تیری آنکھیں ہم پہ اے دوست یہ ساعت تو ہمیشہ گزری میری تنہا سفری میرا مقدر تھی فراز ورنہ اس شہر ِتمنا سے تو دنیا گزری !

کس قدر آگ برستی ہے یہاں

کس قدر آگ برستی ہے یہاں خلق شبنم کو ترستی ہے یہاں صرف اندیشۂ افعی ہی نہیں پھول کی شاخ بھی ڈستی ہے یہاں رُخ کدھر موڑ گیا ہے دریا اب نہ وہ لوگ نہ بستی ہے یہاں زندہ درگور ہُوئے اہلِ نظر کس قدر مُردہ پرستی ہے یہاں زیست وہ جنسِ گراں ہے کہ فراز موت کے مول بھی سَستی ہے یہاں

dhota hooN jab maiN peene ko us seem_tan ke paaNv

dhota hooN jab maiN peene ko us seem_tan ke paaNv rakhata hai zid se kheeNch ke baahar lagan ke paaNv [ seem_tan = silver bodied, lagan = a basin ] dee saadgee se jaan paDooN kohakan ke paaNv haihaat ! kyoN na TooT gaye peerzan ke paaNv [ kohakan = a mountain digger, haihaat = alas !, peerzan = old woman ] bhaage the; ham bahut see uskee saza hai ye hokar aseer daabte haiN raahzan ke paaNv [ aseer = prisoner, raahzan = robber ] marham ki justjoo meiN ghira hooN jo door-door tan se siwa figaar hai is KHastaa_tan ke paaNv [ justjoo = desire, figaar = wounded ] allaah re zauq-e-dasht-e-nawrdee ki baad-e-marg hilte haiN Khud-ba-KHud mere andar qafan ke paaNv [ zauq = taste, dasht-e-nawrdee = to roam around in wilderness, marg = death ] hai josh-e-gul bahaar meiN yaaN tak ki har taraf uDate hue ulajhte haiN murGH-e-chaman ke paaNv [ murGH = bird ] shab ko kisee ke KHwaab meiN aaya na ho kaheeN dukhte haiN aaj oos but-e-naazuk_badan ke paaNv [ but = idol/b...

Ghar jab bana liya tere dar par kahe baghair,

Ghar jab bana liya tere dar par kahe baghair, Janega ab tu bhi mera ghar, kahe baghair ! Kehte hain jab rahi na mujhe taqat e sukhan, Jaanu kisi ke dil ki main kyon kar kahe baghair ! Kaam us se aa para hai ke jis ka jahan mein naam, Leway na koi naam sitamgar kahe baghair ! Ji mein hi kuch nahi hai hamare wagarna hum, Sar jaye ya rahe, na rahein par kahe baghair ! Chhoronga main na us but e kaafir ka poojna, Chhoray na khalq go mujhe kaafir kahe baghair ! Behra hun to chahiye douna ho iltefaat, Sunta nahi hun baat mukarrar kahe baghair ! Ghalib na kar huzoor mein tu bar bar arz, Zaahir hai tera haal sab un par kahe baghair !!

Bazm e Shahenshah mein, asha'ar ka daftar khula

Bazm e Shahenshah mein, asha'ar ka daftar khula Rakhiyo ya rab! ye dar e ganjeena e gauhar khula Shab hoi, phir anjum e rakhshindah ka manzar khula Is takalluf se ke goya butkaday ka dar khula Garche hun deewana, par kiyon dost ka khaon faraib Aastin mein dashnah pinhan, haath mein nashtar khula Go na samjhon uski batein, go na paon uska bhaid Par yeh kya kam hai ki, mujh se woh pari paikar khula Hai khayale husn mein husne amal ka sa khayal Khuld ka ek dar hai meri gore ke ander khula Munh na khulnai par hai woh aalam ki dakha hi nahin Zulf se badkar niqab us shokh ke munh par khula Dar pe rahne ko kaha aur keh ke kaisa phir gaya Jitne arse mein mera lipta hua bistar khula Kiyon andhaire hai shabe gam? hai kiyon balaon ka nuzool Aai udher hi ko rahey ga deedai akhter khula Kaya rahon gurbat mein khush, jab hua hwadis ka ye hal Namah lata hai, watan se, namah bar aksar khula Uski ummat mein hon main, maire rahain kiyon kam band Waste jis shahei ke, Gha...

Juz qais aur koi na aaya be ru'ye kaar,

Juz qais aur koi na aaya be ru'ye kaar, Sehra magar bah tangiy e chashm e husood tha Aashuftagi ne naqsh e suwaida kiya durust, Zaahir hua ke daagh ka sarmaya dood tha Tha khuaab mein khayal ko tujh se muamila, Jab aankh khul gai, na zaiyan tha na sood tha Laita hon maktab e gham e dil mein sabaq, hunooz, Lekin yehi ke raft, gaya aur bood tha Dhaanpa kafan ne dagh e uyoob e barhangi, Main, warna har libas mein nang e wujood tha Teeshe bagair, mar na sako kohkan, Asad! Sargashta e khumar e rusoom o quyood tha !!

Jab be taqreeb e safar yar ne mehmil bandha,

Jab be taqreeb e safar yar ne mehmil bandha, Tapish e shuaq ne har zarre pe ek dil bandha ! Ehl e beenish ne be herat kada e shukhi e naz, Johar e aaina ko tooti e bismil bandha ! Yas o ummeed ne yak arbadah maida'n manga, Ijz e himmat ne tilsim e dil e saail bandha ! Na bandhe tashnagi e zuaq ke mazmoon Ghalib! Garche dil khol ke darya ko bhi saahil bandha

Shab ke wo majlis firouz e khulwat e naamos tha,

Shab ke wo majlis firouz e khulwat e naamos tha, Rishta har shama khar e kiswat e faanos tha ! Mashhad e aashiq se kuson tak jo ugti hai hina, Kis qadar ya rab halak e hasrat e pabous tha ! Haasil e ulfat na dekha juz shikast e aarzu, Dil be dil pewasta, goya, yak lab e afsos tha ! Kia kahon beemari e gham ki faraghat ka bayan, Jo ke khaya khoon e dil, be minnat e kaimos tha !!

Shumaar e subha marghoob e but e mushkil pasand aya,

Shumaar e subha marghoob e but e mushkil pasand aya, Tamasha e be yak kaf burdan e sad e dil pasand aya ! Be faiz e be dili numeedi e jaaved aasan hai, Kusha'ish ko hamara uqda e mushkil pasand aya ! Hawa e sair e gul aaina e be muhri e qaatil, Ke andaze be khuon ghalteedan e bismil pasand aya ! 

dil mera soz-e-nihan se bemuhaba jal gaya

dil mera soz-e-nihan se bemuhaba jal gaya  atish-e-khamosh k manind goya jal gaya dil mein zauq-e-wasl-o-yad-e-yar tak baki nahi  ag is ghar mein lagi aisi k jo tha jal gaya main adam se bhi pare hun warna gafil! barha  meri ah-e-atshin se bal-e-anqa jal gaya arz kije jauhar-e-andesha ki garmi kahan  kuch khayal aya tha wehshat ka k sehra jal gaya dil nahi, tujh ko dikhta warna dagon ki bahar  is charagan ka, karun kya, karfarma jal gaya main hun aur afsurdagi ki arazu "Ghalib"! k dil  dekh kar tarz-e-tapak-e-ahl-e-duniya jal gaya

Kehtay Ho: "Na Den Ge Hum, Dil Agar Para Paaya"

Kehtay Ho: "Na Den Ge Hum, Dil Agar Para Paaya" Dil Kahaan Ke Gum Keejay, Hum Ne Muddua Paaya Ishq Se Tabiyat Ne Zeest Ka Maza Paaya Dard Ki Dawa Paayi, Dard Be-Dawa Paaya Dost Daar E Dushman Hai, Aitmaad E Dil Maaloom Aah Be-Asar Dekhi, Naala Narasa Paaya Saadgi O Purkaari, Be-Khoodi O Hushyaari Husn Ko Taghaaful Mein Jurrat Aazma Paaya Ghuncha Phir Laga Khilnay, Aaj Hum Ne Apna Dil Khoon Kiya Hua Dekha, Gum Kiya Hua Paaya Haal E Dil Nahin Maaloom, Lekin Is Qadar Yaani Hum Ne Baarha Dhoonda, Tum Ne Baarha Paaya Shor E Pand E Naasah Ne Zakhm Par Namak Chhirka Aap Se Koi Poochhay: Tum Ne Kya Maza Paaya

taskii.N ko ham na roe.n jo zauq-e-nazar mile

taskii.N ko ham na roe.n jo zauq-e-nazar mile huraa.N-e-Khuld me.n terii suurat magar mile apanii galii me.n mujh ko na kar dafn baad-e-qatl mere pate se Khalq ko kyo.n teraa ghar mile saaqii garii kii sharm karo aaj varnaa ham har shab piyaa hii karate hai.n mai jis qadar mile tujh se to kuchh kalaam nahiin lekin ae nadiim meraa salaam kahiiyo agar naamaabar mile tum ko bhii ham dikhaaye ke majanuu.N ne kyaa kiyaa fursat kashaakash-e-Gam-e-pinhaa.N se gar mile laazim nahii.n ke Khizar kii ham pairavii kare.n maanaa ke ek buzurg hame.n ham safar mile ae saakanaan-e-kuchaa-e-dil_daar dekhanaa tum ko kahii.n jo Ghalib-e-aashuftaa sar mile 

dard minnat_kash-e-dawa na huaa

dard minnat_kash-e-dawa na huaa maiN na achchaa huaa, bura na huaa jama'a karate ho kyoN raqeeboN ka ? ik tamaasha huaa gila na huaa ham kahaaN qismat aazmaane jaayaiN ? too hee jab KHanjar aazma na huaa kitne sheereeN haiN tere lab ! ki raqeeb gaaliyaaN khaake be_maza na huaa hai KHabar garm unke aane kee aaj hee ghar meiN boriya na huaa ! kya woh namrood kee KHudaaee thee bandagee meiN tera bhala na huaa jaan dee, dee huee usee ki thee haq to ye hai ke haq adaa na huaa zaKHm gar dab gaya, lahoo na thama kaam gar ruk gaya rawanah huaa rahzanee hai ki dil_sitaanee hai ? leke dil, dil_sitaaN rawanah huaa kuchch to paDhiye ki log kehte haiN "aaj 'GHalib' GHazalsara na huaa"

Naqsh faryaadi hai kiski shaukhi-e tehreer ka

Naqsh faryaadi hai kiski shaukhi-e tehreer ka Kagazi hai pairahan har paikar-e tasveer ka Kaay-kaay-e-sakht-janeeha-e tanhai na poochh Subha karna shaam ka lana hai juu-e-sheer ka Jazbah-e-bey-ikhtiyaar-e shouk deykha chahiye Sinah-e shamseer sey baahar hai dum shamsheer ka Aagahee daam-e shunidan jis qadar chaahey bichhaaye Mudad aa anka hai apney aalam-e takreer ka Baski hoon Ghalib aseeri mein bhi aatish zer-e pa Muu-e aatish-deedah hai halkah meri zanjeer ka

dhamki main mar gaya jo na baab_e nabard tha

dhamki main mar gaya jo na baab_e nabard tha ishq nabrad_e paisha talabgaar_e mard tha tha zindagi main marg ka khatka laga howa urney sey paishter bhi mera rang zard tha taleef nuskha hi wafa kar raha tha main majmoa_e khayyal abhi fard fard tha dill ta jigar, k saahil_e darya_e khoo.n hay abb is reh guzar main jalwa_e gull, Aa k gard tha jaati hay koi kashmakash undoh_e ishq ki dill bhi agar gaya, tu wohi dill ka dard tha ehbaab chara saazi_e wehshat na kar sakey zindaa.n main bhi khayyal_e bayabaa.n navard tha ye laash be-kafan, Asad_e khasta jaa.n ki hay huq_e maghfirat karey, ajab Aazad mard thaa

Mere Baad Kidhar Jayegi Tanhayi,

Mere Baad Kidhar Jayegi Tanhayi Main Jo Mara To Mar Jayegi Tanhayi, Main Jab Ro Ro Ke Dariya Ban Jaunga, Us Din Paar Utar Jayegi Tanhayi, Tanhayi Ko Ghar Se Rukhsat Kar To Dun, Socho Kis Ke Ghar Jayegi Tanhayi, Veerana Hoon Aabadi Se Aaya Hoon, Dekhegi To Dar Jayegi Tanhayi, Yun Aao Ke Paanv Ki Bhi Aawaz Na Ho, Shor Hua To Mar Jayegi Tanhayi... 

Jisay tha samjha sahara zindagi ka

Jisay tha samjha sahara zindagi ka tha woh ek khwab meri  bekhudi ka dard uska tha or tarap meray dil ki hua hay yeh hissa aaj bay hissi ka mat hanso halat-e-zar per meri kuch tou andaza karo meri beybasi ka kehtay thay keh mat dil laga dekha hay tunay anjam dillagi ka...

teri khushi se

kafi

DIL KARDA AYE

aa.Nkh se aa.Nkh milaataa hai ko_ii

aa.Nkh se aa.Nkh milaataa hai ko_ii dil ko khii.Nche liye jaataa hai ko_ii vaa-e-hairat ke bharii mahafil me.n mujh ko tanhaa nazar aataa hai ko_ii chaahiye Khud pe yaqiin-e-kaamil hausalaa kis kaa ba.Dhaataa hai ko_ii sab karishmaat-e-tasavvur hai "Shakeel" varanaa aataa hai na jaataa hai ko_ii

saaqii terii mahafil me.n ham jaam uchhaale.nge

saaqii terii mahafil me.n ham jaam uchhaale.nge jab kaabe me.n jaaye.nge zam_zam se nahaa le.nge ham dast_navardii kaa kuchh aur mazaa le.nge manzil pe bhii talvo.n ke kaa.NTe na nikaale.nge ham gulshan-e-fitarat se jiine kii adaa le.nge shaaKho.n se lachak le.nge kaa.NTo.n se anaa le.nge

charaaG-e-ishq jalaane kii raat aa_ii hai

charaaG-e-ishq jalaane kii raat aa_ii hai kisii ko apanaa banaane kii raat aa_ii hai falak ka chaa.Dd bhii sharmaa ke muu.Nh chhupaayegaa naqaab ruKh se uThaane kii raat aa_ii hai nigaah-e-saaqii se paiham chhalak rahii hai sharaab pi_o ki piine-pilaane kii raat aa_ii hai vo aaj aa_e hai.n mahafil me.n chaa.Ndanii lekar ki raushanii me.n nahaane kii raat aa_ii hai

kaash Khvaabo.n hii me.n aa jaao bahut tanahaa huu.N

kaash Khvaabo.n hii me.n aa jaao bahut tanahaa huu.N yaa mere zahan se yaado.n ke diye gul kar do mere ehasaas kii duniyaa ko miTaa do ham-dam raat taare nahii.n a.ngaare liye aatii hai in barasate huye sholo.n ko bujhaa do ham-dam dil kii dha.Dakan ko sulaa jaao bahut tanahaa huu.N a.Ndherii raat me.n jab chaa.Nd khilane lagataa hai tumhaare pyaar ke diipak jalaake rotaa huu.N tumhaare aane kii jab aas jaane lagatii hai mai.n in chiraaGo.n ko Khud hii bujhaa ke rotaa huu.N zindagii aisii miTaa jao bahut tanahaa huu.N sochate sochate jab soch bhii mar jaatii hai vaqt ke qadamo.n kii aahaT ko sunaa karataa huu.N ashk thamate hai.n to aaho.n kaa dhuaa.N uThataa hai raat bhar yuu.N hii ta.Dapataa huu.N jalaa karataa huu.N baar-e-Gam kuchh to ghaTaa jaao bahut tanahaa huu.N

aa.Nsuuo.n kii jahaa.N paayamaalii rahii

aa.Nsuuo.n kii jahaa.N paayamaalii rahii aisii bastii charaaGo.n se Khaalii rahii dushmano.n kii tarah us se la.Date rahe apanii chaahat bhii kitanii niraalii rahii jab kabhii bhii tumhaaraa Khayaal aa gayaa phir ka_ii roz tak beKhayaalii rahii lab tarasate rahe ik ha.Nsii ke liye merii kashtii musaafir se Khaalii rahii chaa.Nd taare saabhii ham-safar the magar zindagii raat thii raat kaalii rahii mere siine pe Khushbuu ne sar rakh diyaa merii baa.Nho.n me.n puulo.n kii Daalii rahii

aa chaa.Ndanii bhii merii tarah jaag rahii hai

aa chaa.Ndanii bhii merii tarah jaag rahii hai palako.n pe sitaaro.n ko liye raat kha.Dii hai ye baat ki suurat ke bhale dil ke bure ho.n allaah kare jhuuTh ho bahuto.n se suunii hai vo maathe kaa matalaa ho ki ho.nTho.n ke do misare bachapan kii Gazal hii merii mahabuub rahii hai Gazalo.n ne vahii.n zulfo.n ke phailaa diye saaye jin raaho.n pe dekhaa hai bahut dhuup ka.Dii hai ham dillii bhii ho aaye hai.n laahaur bhii ghume ai yaar magar terii galii terii galii hai [laahaur =Lahore]

aa_ii na phir nazar kahii.n jaane kidhar ga_ii

aa_ii na phir nazar kahii.n jaane kidhar ga_ii un tak to saath gardish-e-shaam-o-sahar ga_ii [gardish-e-shaam-o-sahar=passage of time] kuchh itanaa besabaat thaa har jalvaa-e-hayaat lauT aa_ii zaKhm khaa ke jidhar bhii nazar ga_ii [besabaat=momentary] aa dekh mujh se ruuThane vaale tere baGair din bhii guzar gayaa merii shab bhii guzar ga_ii naadim hai apane apane qariino.n pe har nazar duniyaa lahuu uchchhaal ke kitanii nikhar ga_ii

dil pe karate hai.n dimaaGo.n pe asar karate hai.n

dil pe karate hai.n dimaaGo.n pe asar karate hai.n ham ajab log hai.n zehano.n me.n safar karate hai.n jab saraape pe kahii.n us ke nazar karate hai.n miir saahab kii tarah umr basar karate hai.n ba.ndishe.n ham ko kisii haal gavaaraa hii nahii.n ham to vo log hai.n diivaar ko dar karate hai.n vaqt ki tez-Kharaamii hame.n kyaa rokegii ja.nbish-e-kalk se sadiyo.n kaa safar karate hai.n naqsh-e-paa apanaa kahii.n raah me.n hotaa hii nahii.n sar se karate hai.n mohim jab ko_ii sar karate hai.n ham-nashii.n Khuub hai ye mahafil-e-yaaraa.N ke yahaa.N vo saliqaa hai ke aibo.n ko hunar karate hai.n kyaa kahe.n haal teraa ai mutamaddin duniyaa ja.nvar bhii nahii.n karate jo bashar karate hai.n ham ko dushman kii bhi taqliif gavaaraa na hu_ii log ehabaab se bhii sarf-e-nazar karate hai.n marqado.n pe to charaaGaa.N hai shab-o-roz magar umr kuchh log a.dhero.n me.n basar karate hai.n tazakaraa miir kaa Gaalib kii zabaa.N tak aayaa aitaraaf-e-hunar, arbaab-e-hunar ka...

tere lams-e-dast-e-hasii.n kii

tere lams-e-dast-e-hasii.n kii dil aavez Khushbuu terii u.ngaliyo.n se merii u.ngaliyo.n me.n guzaratii hu_ii jab hathelii me.n utarii to mai.n ne ise dasht-e-tishanaa me.n kuchh is tarah se sameTaa ke mahafuuz kar luu.Ngaa shaayad abad tak mai.n apane liye sirf apane liye teraa husn-e-shaGuftaa jamaal-e-daraKhshaa.N gumaa.N se hasii.n Khvaab tak mai.n ne mahafuuz tujh ko kiyaa paao.n se sar talak ho gayaa mai.n munavvar [lams = touch; dast = hands; dil aavez = pleasant/pelasurable] [dasht = wilderness/desert; tishanaa = thirst; sameTaa = to gather] [mahafuuz = protect/safe; abad = eternity; jamaal  = beauty] [daraKhshaa.N = resplendent; shaGuftaa = ; gumaa.N = doubt/suspicion] [munavvar = illuminated]

khoyaa khoyaa udaas saa hogaa

khoyaa khoyaa udaas saa hogaa tum se vo shaKhs jab milaa hogaa [shaKhs - person] qurb kaa zikr jab chalaa hogaa daarmiyaa.N ko_ii faasalaa hogaa [qurb = nearness; daarmiyaa.N = in between] [faasalaa = distance] ruuh se ruuh ho chukii bad_zan jism se jism kab judaa hogaa [ruuh = soul; bad_zan = disillusioned] phir bulaayaa hai us ne Khat likh kar saamane ko_ii masa'laa hogaa [masa'laa = problem] ghar me.n sab log so rahe honge phuul aa.Ngan me.n jal chukaa hogaa kal kii baate.n karoge jab logo Khauf saa dil me.n ruu_numaa hogaa [Khauf = dread/fear; ruu_numaa = emerge/appear]

kheto.n kaa haraapan mai.n kahaa.N dekh rahaa huu.N

kheto.n kaa haraapan mai.n kahaa.N dekh rahaa huu.N mai.n rel ke injan kaa dhuaa.N dekh rahaa huu.N fursat hai kahaa.N aap ke baaGaat me.n Tahaluu.N mai.n apane uja.Dane kaa samaa.N dekh rahaa huu.N [baaGaat = gardens; Tahalanaa = to stroll] Khanjar jo gavaahii hai mere qatl kii us par apanii hii u.Ngaliyo.n ke nishaa.N dekh rahaa huu.N [Khanjar = dagger; gavaahii = witness; qatl = murder] sab aap kii aa.Nkho.n se jahaa.N dekh rahe hai.n mai.n aap kii aa.Nkho.n me.n jahaa.N dekh rahaa huu.N vo soch me.n Duube hai.n nishaanaa ho kahaa.N par mai.n TuuTe huye tiir-kamaa.N dekh rahaa huu.N maaluum hai taqariir likhaa laaye hai.n kis se mai.n un kaa zaraa tarz-e-bayaa.N dekh rahaa huu.N [taqariir = speech/discourse; tarz-e-bayaa.N = style of speaking] jo mai.n ne Khariidaa thaa kabhii bech ke Khud ko niilaam me.n bikataa vo makaa.N dekh rahaa huu.N [niilaam = auction] tuu Dhuu.NDh rahii hogii kahaa.N mujh ko qayaamat mai.n kab se terii raah yahaa.N dekh rahaa...

maal-e-soz-e-Gam haa_e! nihaanii dekhate jaao

maal-e-soz-e-Gam haa_e! nihaanii dekhate jaao bha.Dak uThii hai shammaa-e-zi.ndagaanii dekhate jaao chale bhii aao vo hai qabr-e-Fani dekhate jaao tum apane marane vaale kii nishaanii dekhate jaao abhii kyaa hai kisii din Khuu.N rulaayegaa ye Khaamoshii zubaan-e-haal ki jadd-o-bayaanii dekhate jaao Garuur-e-husn kaa sadaqaa ko_ii jaataa hai duniyaa se kisii kii Khaak me.n milatii javaanii dekhate jaao udhar muu.Nh pher kar kyaa zibaah karate ho, idhar dekho! merii gardan pe Kha.njar kii ravanii dekhate jaao bahaar-e-zindagii kaa lutf dekhaa hai aur dekhoge kisii kaa aish marg-e-naagahaanii dekhate jaao sune jaate na the tum se mere din raat ke shikave kafan sarakaao merii be-zubaanii dekhate jaao vo uThaa shor-e-maataam aaKharii diidaar-e-mayyat par ab uThaa chaahate hai.n naash-e-Fani dekhate jaao

maadaam

aap bevajah pareshaan-sii kyo.n hai.n maadaam log kahate hai.n to phir Thiik hii kahate ho.nge mere ehabaab ne tahaziib na siikhii hogii mere maahaul me.n i.nsaan na rahate ho.nge [maadaam=Urdu equivalent of Madam] [ehabaab=friends; maahaul=environment/surrounding] nuur-e-saramaayaa se hai ruu-e-tamaddun kii jilaa ham jahaa.N hai.n vahaa.N tahaziib nahii.n pal sakatii mufalisii hiss-e-lataafat ko miTaa detii hai bhuuk aadaab ke saa.Nche me.n nahii.n Dhal sakatii [nuur-e-saramaayaa=light of wealth; ruu-e-tamaddun=face of civilization] [jilaa=shine/brightness; hiss-e-lataafat=finer feelings] [aadaab=genteel/civilized/politeness] log kahate hai.n to logo.n pe t’ajjub kaisaa sach to kahate hai.n ki naadaaro.n kii izzat kaisii log kahate hai.n – magar aap abhii tak chup hai.n aap bhii kahiye Gariibo.n me.n sharaafat kaisii [naadaaro.n=poor] nek maadaam! Bahut jald vo daur aayegaa jab hame.n ziist ke adavaar parakhane ho.nge apanii zillat kii qasam, aap kii azamat ...

sitam havaa kaa agar tere tan ko raas nahii.n

sitam havaa kaa agar tere tan ko raas nahii.n kahaa.N se laa_uu.N vo jho.nkaa jo mere paas nahii.n pighal chukaa huu.N tamaazat me.n aafataab kii mai.n meraa vujuud bhii ab mere aas-paas nahii.n [tamaazat = heat; aafataab = Sun; vujuud = existence] mere nasiib me.n kab thii barahanagii apanii milii vo mujh ko tamannaa ki be-libaas nahii.n [barahanagii = nakedness; be-libaas = undressed] kidhar se utare kahaa.N aa ke tujh se mil jaaye abhii nadii ke chalan se tuu ruu_shanaas nahii.n [ruu_shanaas = acquainted] khulaa pa.Daa hai samandar kitaab kii suurat vahii pa.Dhe ise aakar jo naa_shanaas nahii.n [naa_shanaas = unacquainted] lahuu ke saath ga_ii tan-badan kii sab chahakaar chubhan sabaa me.n nahii.n hai kalii me.n baas nahii.n [sabaa = wind; baas = smell (fragrance)]

din Dhal chukaa thaa aur parindaa safar me.n thaa

din Dhal chukaa thaa aur parindaa safar me.n thaa saaraa lahuu badan kaa ravaa.N Khisht-o-par me.n thaa had-e-ufaq pe shaam thii Kheme me.n muntazar aa.Nsuu kaa ik pahaa.D saa haa_il nazar me.n thaa jaate kahaa.N ki raat kii baahe.n thii.n mushta_iil chhupate kahaa.N ki saaraa jahaa.N apane ghar me.n thaa lo vo bhii narm ret ke Tiile me.n Dhal gayaa kal tak jo ek koh-e-giraa.N rah_guzar me.n thaa utaraa thaa vahashii chi.Diyo.n kaa lashkar zamiin par phir ik bhii narm paat na saare shahar me.n thaa paagal sii ik sadaa kisii uja.De makaa.n me.n thii Khi.Dakii me.n ik chiraaG bharii dopahar me.n thaa us kaa badan thaa Khuun kii hiddat se sholaa_fish suuraj kaa ik gulaab saa tisht-e-sahar me.n thaa

dhuup ke saath gayaa saath nibhaane vaalaa

dhuup ke saath gayaa saath nibhaane vaalaa ab kahaa.N aayegaa vo lauT ke aane vaalaa ret par chho.D gayaa naqsh hazaaro.n apane kisii paagal kii tarah naqsh miTaane vaalaa sabz shaaKhe.n kabhii aise to nahii.n chiiKhatii hai.n kaun aayaa hai parindo.n ko Daraane vaalaa [sabz = green; shaaKh = branch; parindaa = bird] aariz-e-shaam kii surKhii ne kiyaa faash use pardaa-e-abr me.n thaa aag lagaane vaalaa [aariz-e-shaam = evening's cheeks; surKhii = redness] [faash = expose; pardaa-e-abr = curtain of clouds] safar-e-shab kaa taqaazaa hai mere saath raho dasht pur_haul hai tuufaan hai aane vaalaa [safar-e-shab = night time travel; taqaazaa = demand] [dasht = wilderness; pur_haul = terrifying] mujh ko dar_pardaa sunaataa rahaa qissaa apanaa agale vaqto.n kii hikaayaat sunaane vaalaa [dar_pardaa = hidden; hikaayaat = stories/tales] shabanamii ghaas ghane phuul larazatii kirane.n kaun aayaa hai Khazaano.n ko luTaane vaalaa [shabanamii = dew-drenched; Khaza...

jaan-e-sukuun aa bhii jaa teraa hii intazaar hai

jaan-e-sukuun aa bhii jaa teraa hii intazaar hai aa.Nkho.n se ashk hai ravaa.N jaa.N bhii beqaraar hai hone ko fasl-e-gul bhii hai daavat-e-aish hai magar apanii bahaar kaa mujhe aaj bhii intazaar hai saare sahaare ishq ke TuuT chuke hai.n hijr me.n ek tumhaarii yaad bas dard kii Gam-gusaar hai ahad-e-vafaa kaa aap ke lutf-o-karam kaa aap ke aur kisii ko ho na ho mujh ko aitabaar hai luT ga_ii Gam kii aabaruu luT chukii dil kii aarazuu 'Yahya' nigaah-e-lutf kaa phir bhii ummiid_vaar hai

ek bekasii hai hijr ke maaro.n ke saath saath

ek bekasii hai hijr ke maaro.n ke saath saath TuuTaa hai meraa dil bhii sahaaro.n ke saath saath jii bhar ke dekhane bhii na paaye the chhup gaye armaa.N bhii hai.n udaas nazaaro.n ke saath saath dil me.n vafuur-e-shauq kaa tuufaa.N liye huye Khaamosh jaagataa huu.N sitaaro.n ke saath saath itanii to mahviyat ho tasavvur me.n tere dost Khud ko bhii bhuul jaa_uu.N nazaaro.n ke saath saath "Yahya" ye aag ishq kii phir bhii na bujh sakii hai dil me.n ashk-e-Gam bhii sharaaro.n ke saath saath

dil kii lagii ko aur vo bha.Dakaa rahe hai.n aaj

dil kii lagii ko aur vo bha.Dakaa rahe hai.n aaj sar taa paa bahaar bane jaa rahe hai.n aaj jaise ke ho rahaa hai tuluu aaftaab-e-naaz kuchh aisii shaan se vo chale aa rahe hai.n aaj Thukaraa ke iltajaa ko paa-e-Guruur se armaano.n kaa vo Khuun kiye jaa rahe hai.n aaj vo pyaar kii fizaaye.n vo rangiin sohabate.n manzar vo saare shauq ke yaad aa rahe hai.n aaj "Yahya" gilaa kare.n bhii to kis baat kaa kare.n apane kiye kii aap sazaa paa rahe hai.n aaj

Humein yeh rooz-o-shub ka silsil acha nahi lugta

Humein yeh rooz-o-shub ka silsil acha nahi lugta Kisi se baat kerna ho’ koyi bhi zakhm bhurna ho Kabhi beyhaal hoker koey jana se guzarna ho Tumhari yaad mein rehna ho keh khud se mukurna ho Kisi harf-e-tasali se yeh dil ka zakhm bhurna ho Mohababt ki dowa honton pe rukh ke muskurana ho Darakhtun pe tumahra naam likh ker bhool jana ho Kisi beykhawaab shub mein chashm-e-weraan ko sulana ho Tumhari kushboowon se kheema-e-jaaa’n ko sajana ho Ya phir shehur-e-sakoot-e-shaam-e-ghum mein geet gana ho Yunhi beywajha keefiyut mein ashkon ko bahana ho Kisi jazbey ka bhi chehra humein sacha nahi lugta KEH UB TAO ROOZ-O-SHUB KA SILSILA ACHA NAHI LUGTA

aa bhii jaao kii zindagii kam hai

aa bhii jaao kii zindagii kam hai tum nahii.n ho to har Khushii kam hai vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n shahar me.n aaj raushanii kam hai jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa aaj kal un kii dostii kam hai tere dam se hii mai.n mukammal huu.N bin tere terii 'Yamini' kam hai

kahii.n aisaa naa ho daaman jalaa lo

kahii.n aisaa naa ho daaman jalaa lo hamaare aa.Nsuo.n par Khaak Daalo manaanaa hii zaruurii hai to phir tum hame.n sab se Khafaa hokar manaa lo bahut ro_ii hu_ii.n lagatii hai.n aa.Nkhe.n merii Khaatir zaraa kaajal lagaa lo akelepan se Khauf aataa hai mujh ko kahaa.N ho ai mere Khvaabo.n Khayaalo.n bahut maayuus baiThaa huu.N mai.n tum se kabhii aakar mujhe hairat me.n Daalo

ishq kii maar ba.Dii dardiilii ishq me.n jii na pha.Nsaanaa jii

ishq kii maar ba.Dii dardiilii ishq me.n jii na pha.Nsaanaa jii sab kuchh karanaa ishq na karanaa ishq se jaan bachaanaa jii vaqt na dekhe umar na dekhe jab chaahe majabuur kare maut aur ishq ke aage to ko_ii chale na bahaanaa jii ishq kii Thokar maut kii hichakii dono.n kaa hai ek asar ek kare ghar ghar rusvaa_ii ek kare afsaanaa jii ishq kii nemat phir bhii yaaro har nemat par bhaarii hai ishq kii Tiise.n den Khudaa kii ishq se kyaa ghabaraanaa jii ishq kii nazaro.n me.n yaksaa.N kaabaa kyaa but_Khaanaa kyaa ishq me.n duniyaa uqbaa kyaa hai kyaa apanaa begaanaa jii raah kaThin hai pii ke nagar kii aag pe chal ke jaanaa hai ishq hai sii.Dhii pii ke milan kii jo chaaho to nibhaanaa jii 'Tarz' bahut din jhel chuke tum duniyaa kii zanjiiro.n ko to.D ke pinjaraa ab to tumhe.n hai des piyaa ke jaanaa jii

ik zara dil ke qariib aao to kuchh chain pa.De

ik zara dil ke qariib aao to kuchh chain pa.De jaam ko jaam se Takaraao to kuchh chain pa.De baiThe baiThe to har mauj se dil dahalegaa ba.Dake tuufaan se Takaraao to kuchh chain pa.De jii ulajhataa hai naGmaa-e-rangiin sun kar giit ek dard bharaa gaao to kuchh chain pa.De daaG ke sher javaanii me.n bhale lagate hai.n miir kii ko_ii Gazal gaao to kuchh chain pa.De yaad-e-ayaa.N me.n guzishtaa.N se ijaazat lekar 'Tarz' kuchh der ko so jaao to kuchh chain pa.De

duniyaa banii to hamd-o-sunaa ban ga_ii Gazal

duniyaa banii to hamd-o-sunaa ban ga_ii Gazal utaraa jo nuur nuur-e-Khudaa ban ga_ii Gazal guu.Njaa jo naad_brahm banii raqs-e-mahar-o-maah zarre jo thar-tharaaye sadaa ban ga_ii Gazal chamakii kahii.n jo barq to ehasaas ban ga_ii chhaa_ii kahii.n ghaTaa to adaa ban ga_ii Gazal aa.Ndhii chalii to qahar ke saa.Nche me.n Dhal ga_ii baad-e-sabaa chalii to nashaa ban ga_ii Gazal haivaan bane to bhuuk banii bebasii banii insaan bane to jazb-e-vafaa ban ga_ii Gazal uThaa jo dard-e-ishq to ashko.n me.n Dhal ga_ii bechainiyaa.N ba.Dii to duaa ban ga_ii Gazal zaahid ne pii to jaam-e-panaah ban ke rah ga_ii rindo.n ne pii to jaam-e-baqaa ban ga_ii Gazal arz-e-dakkan me.n jaan to dilli me.n dil banii aur shahar lakhanau me.n hinaa ban ga_ii Gazal dohe rubaa_ii nazme.n sabii 'Tarz' the magar asnaaf-e-shaayarii kaa Khudaa ban ga_ii Gazal

beniyaaz-e-sahar ho ga_ii

beniyaaz-e-sahar ho ga_ii sham-e-Gam moatabar ho ga_ii ik nazar kyaa idhar ho ga_ii ajanabii har nazar ho ga_ii zindagii kyaa hai aur maut kyaa shab hu_ii aur sahar ho ga_ii unkii aa.Nkho.n me.n ashk aa gaye daastaa.N muKhtasar ho ga_ii chaar tinake hii rakh paaye the bijaliyo.n ko Khabar ho ga_ii chhi.D ga_ii kis kii daaman kii baat Khud_ba_Khud aa.Nkh tar ho ga_ii un kii mahafil se uThakar chale raushanii ham_safar ho ga_ii 'Tarz' jab se chhuuTaa kaaravaa.N ziist gard-e-safar ho ga_ii