Skip to main content

Butan-E-Mahvash Ujri Hui Manzil Main Rahte Hain


Butan-E-Mahvash Ujri Hui Manzil Main Rahte Hain
 K Jis Ki Jan Jati Hai Usi K Dil Main Rahte Hain

Hazaron Hasraten Vo Hain K Rok Se Nahin Ruktin
 Bahot Arman Aise Hain K Dil K Dil Main Rahte Hain

Khuda Rakhe Muhabbat K Liye Abad Donon Ghar
 Main Un K Dil Main Rahta Hun Vo Mere Dil Main Rahte Hain

Zamin Par Panv Nakhvat Se Nahin Rakhte Pari-Paikar
 Ye Goya Is Makan Ki Dusari Manzil Main Rahte Hain

Koi Nam-O-Nishan Puche To Ai Qasid Bata Dena
 Takhallus "Dag" Hai Aur Ashiqon K Dil Main Rahte Hain


Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng