Skip to main content

Hai Duaa Yaad Magar Harf-E-Duaa Yaad Nahii.N

Hai Duaa Yaad Magar Harf-E-Duaa Yaad Nahii.N
Mere Nagmaat Ko A.Ndaaz-E-Navaa Yaad Nahii.N


Mai.N Ne Palako.N Se Dar-E-Yaar Pe Dastak Dii Hai
Mai.N Vo Saahil Huu.N Jise Ko_Ii Sadaa Yaad Nahii.N


Mai.N Ne Jin Ke Liye Raaho.N Me.N Bichhayaa Thaa Lahuu
Ham Se Kahate Hai.N Vahii Ahad-E-Vafaa Yaad Nahii.N


Kaise Bhar Aa_Ii.N Sar-E-Shaam Kisii Kii Aa.Nkhe.N
Kaise Tharraa_E Charaago.N Kii Ziyaa Yaad Nahii.N


Sirf Dhu.Ndhalaa_Ii Sitaaro.N Kii Chamak Dekhii Hai
Kab Huaa Kaun Huaa Kis Se Khafaa Yaad Nahii.N


Zindagii Jabr-E-Musalasal Kii Tarah Katatii Hai
Jaane Kis Jurm Kii Paa_Ii Hai Sazaa Yaad Nahii.N


Aao Ik Sajdaa Kare.N Aalam-E-Madhahoshii Me.N
Kahate Hai.N Ke "Sagar" Ko Khudaa Yaad Nahii.N

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng