Skip to main content

duniyaa banii to hamd-o-sunaa ban ga_ii Gazal


duniyaa banii to hamd-o-sunaa ban ga_ii Gazal
utaraa jo nuur nuur-e-Khudaa ban ga_ii Gazal

guu.Njaa jo naad_brahm banii raqs-e-mahar-o-maah
zarre jo thar-tharaaye sadaa ban ga_ii Gazal

chamakii kahii.n jo barq to ehasaas ban ga_ii
chhaa_ii kahii.n ghaTaa to adaa ban ga_ii Gazal

aa.Ndhii chalii to qahar ke saa.Nche me.n Dhal ga_ii
baad-e-sabaa chalii to nashaa ban ga_ii Gazal

haivaan bane to bhuuk banii bebasii banii
insaan bane to jazb-e-vafaa ban ga_ii Gazal

uThaa jo dard-e-ishq to ashko.n me.n Dhal ga_ii
bechainiyaa.N ba.Dii to duaa ban ga_ii Gazal

zaahid ne pii to jaam-e-panaah ban ke rah ga_ii
rindo.n ne pii to jaam-e-baqaa ban ga_ii Gazal

arz-e-dakkan me.n jaan to dilli me.n dil banii
aur shahar lakhanau me.n hinaa ban ga_ii Gazal

dohe rubaa_ii nazme.n sabii 'Tarz' the magar
asnaaf-e-shaayarii kaa Khudaa ban ga_ii Gazal

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.