Skip to main content

Koi Mujhko Mera Bharpoor Saraapa Ladey

Koi Mujhko Mera Bharpoor Saraapa Ladey
Mere Baazoo Meri Aankhen Mera Chehra La Dey

Aisa Dariya Jo Kisi Aur Samandar Mai Girey
Is Se Behter Hai Ke Mujhko Mera Sehra La Dey

Kuchh Nahee Chahiye Tujh Se Meri Ai Umr-E-Rawan
Mera Bachpan Mere Jugnoo Meri Gudia Laa Dey

Jiski Aankhen Mujhe Ander Se Bhi Padh Sakti Hon
Koi Chehra To Mere Sheher Mai Aisa La Dey

Kishti-E-Jaan To Bhanwar Mai Hai Kai Barson Se
Ai Khuda Ab To Dubo Dey Ya Kinara La Dey

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng