Skip to main content

Tum Aj Hanste Ho Hans Lo Mujh Par Ye Aamaish Na Bar Bar Hogi

Tum Aj Hanste Ho Hans Lo Mujh Par Ye Aamaish Na Bar Bar Hogi
Main Janta Hun Mujhe Khabar Hai K Kal Faza Khushgawar Hogi


Rahe Muhabbat Main Zindagi Bhar Rahegi Ye Kashamakash Barabar
Na Tumko Qurbat Main Jit Hogi Na Mujhko Furqat Main Har Hogi


Hazar Ulfat Sataye Lekin Mere Iradon Se Hai Ye Mumkin
Agar Sharafat Ko Tumne Chera To Zindagi Tum Pe War Hogi

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.