Jisay tha samjha sahara zindagi ka

Jisay tha samjha sahara zindagi ka
tha woh ek khwab meri  bekhudi ka

dard uska tha or tarap meray dil ki
hua hay yeh hissa aaj bay hissi ka

mat hanso halat-e-zar per meri
kuch tou andaza karo meri beybasi ka

kehtay thay keh mat dil laga
dekha hay tunay anjam dillagi ka...