tumhari raah ki dewaar to hona nahi hum ko


tumhari raah ki dewaar to hona nahi hum ko
 agar hum boojh ban jae'n, to dhona nahi hum ko

hamari khush naseebi ha, tumhari aan par marna
 agar hum mar gaye to dekhna rona nahi hum ko

dubara jo ugao gay ,dubara fasal de'n gay hum
 magar pathar diloo'n ke shehar me'n bona nahi hum ko

kisi ki yaad se mahkay hai’n, iss dil ke baam o dar
suno ay neend sun lo tum, nahi sona nahi hamko

zafar hum zindagi hain, zindagi ik baar milti hai
 agar mil jae'n hum tum ko, phr khona nahi hum ko