Skip to main content

Tujh Say Mil Kar Bhi Kuch Khafa Hain Hum,


Tujh Say Mil Kar Bhi Kuch Khafa Hain Hum,
Be- Murawwat Nahin To Aur Kya Hain Hum,

Hum Gham-E-Kaarwan Mein Behte The,
Log Samjhe Ki Shikasta-Paa Hain Hum,

Is Tarah Se Hamein Raqeeb Mile,
Jaise Muddat Ke Aashna Hain Hum,

Raakh Hain Hum Agar Ye Aag Bujhe,
Juz Dard-O-Gham Ka Aur Kya Hain Hum,

Khud Ko Sunte Hain Is Tarah Jaise
Waqt Ki Aakhri Saada Haain Hum,

Kyon Zamane Ko Ilzaam Dein 'Faraz'
Wo Nahi Hain To Be-Wafa Hain Hum ...

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.