Skip to main content

Kehnay ko us say mera koi waasta nahi


Kehnay ko us say mera koi waasta nahi
Amjad magar woh shakhs mujhay bhoolta nahi

Darta hoon aankh kholoon to manzar badal naa jaye
Main jaag to raha hoon magar jaagta nahi

Aashaftagi say uski usay bay wafa naa jaan
Aadat ki baat aur hay dil ka bura nahi

Tanha udaas chaand ko samjho naa bay_khabar
Har baat sun raha hay magar bolta nahi

Khamosh ratjagon ka dhuwaan tha chaar soo
Nikla kub aaftaab mujhay to pata nahi

Amjad woh aankhain jheel see gehri to hain magar
Un main koi bhi aks meray naam ka nahi..

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.