Skip to main content

Khuda Kare K Meri Arz-e-Pak Par Utray


Khuda Kare K Meri Arz-e-Pak Par Utray
Wo Fasl-e-Gul Jisay Andesha-e-Zawal Na Ho

Yahan Jo Phool Khilay, Wo Khila Rahay Sadiyon
Yahan Khizan Ko Guzarnay Ki Bhi Majal Na Ho

Yahan Jo Sabza Ugay Wo Hamesha Sabz Rahay
Aur Aisa Sabz K Jis Ki Koi Misaal Na Ho

Khuda Kare K Na Kham Ho Sar-e-Waqar-e-Watan
Aur Is K Husn Ko Tashweesh-e-Mah-o-Saal Na Ho

Har Aik Fard Ho Tehzeeb-o-Fun Ka Aoj-e-Kamal
Koi Malol Na Ho Koi Khasta Haal Na Ho

Khuda Kare K Mere Ik Bhi Ham Watan K Liye
Hayat Jurm Na Ho Zindagi Wabal Na Ho ...

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.