Skip to main content

tum apne gird hisaaroN kaa silsilaa rakhnaa


tum apne gird hisaaroN kaa silsilaa rakhnaa
 magar hamaare liye ko’ii raastaa rakhnaa

(gird : around; hisaar : fence, fort)

hazaar saanihe pardes meN guzarte haiN
 jo ho sake to zaraa hamse raabitaa rakhnaa

(saanihaa : accidents, raabitaa : contact)

KhizaaN rakhegii daraKhtoN ko be-samar kab tak
 guzar hii jaayegii ye rut bhii hauslaa rakhnaa

(KhizaaN : autumn; be-samar : fruitless)

ziyaadaa der “Zafar” zulm rah nahiiN saktaa
 agar ab aayeN kaRe din to jii kaRaa rakhnaa

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.