Skip to main content

beniyaaz-e-sahar ho ga_ii


beniyaaz-e-sahar ho ga_ii
sham-e-Gam moatabar ho ga_ii

ik nazar kyaa idhar ho ga_ii
ajanabii har nazar ho ga_ii

zindagii kyaa hai aur maut kyaa
shab hu_ii aur sahar ho ga_ii

unkii aa.Nkho.n me.n ashk aa gaye
daastaa.N muKhtasar ho ga_ii

chaar tinake hii rakh paaye the
bijaliyo.n ko Khabar ho ga_ii

chhi.D ga_ii kis kii daaman kii baat
Khud_ba_Khud aa.Nkh tar ho ga_ii

un kii mahafil se uThakar chale
raushanii ham_safar ho ga_ii

'Tarz' jab se chhuuTaa kaaravaa.N
ziist gard-e-safar ho ga_ii

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.