Skip to main content

Us Simt Mujh Ko Yar Ne Jane Nahin Diya

Us Simt Mujh Ko Yar Ne Jane Nahin Diya
Ek Aur Shahar-E-Yar Main Ane Nahin Diya

Kuch Aur Waqt Chahte The K Sochen Tere Liye
Tune Wo Waqt Ham Ko Zamane Nahin Diya

Manzil Hai Is Mahak Ki Kahan Kis Chaman Main Hai
Is Ka Pata Safar Main Hawa Ne Nahin Diya

Roka Ana Ne Kawish-E-Besud Se Mujhe
Us But Ko Apna Hal Sunane Nahin Diya

Hai Jis K Bad Ahad-E-Zawal-Ashna "Munir"
Itna Kamal Ham Ko Khuda Ne Nahin Diya

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.