Skip to main content

Aj Unhen Kuch Is Tarah Ji Khol Kar Dekha Kiye


Aj Unhen Kuch Is Tarah Ji Khol Kar Dekha Kiye
Ek Hi Lamhe Mein Jaise Umr Bhar Dekha Kiye

Dil Agar Betab Hai Dil Ka Muqaddar Hai Yahi
Jis Qadar Thi Ham Ko Taufiq-E-Nazar Dekha Kiye

Khudfaroshana Ada Thi Meri Surat Dekhna
Apne Hi Jalwe Ba-Andaz-E-Digar Dekha Kiye

Nashanas-E-Gam Faqat Dad-E-Hunar Dete Rahe
Ham Mata-E-Gam Ko Ruswa-E-Hunar Dekha Kiye

Dekhne Ka Ab Ye Alam Hai Koi Ho Ya Na Ho
Ham Jidhar Dekha Kiye Pehron Udhar Dekha Kiye

Husn Ko Dekha Hai Main Ne Husn Ki Khatir ?Hafeez?
Warna Sab Apna Hi Mear-E-Nazar Dekha Kiyea

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng