Shumaar e subha marghoob e but e mushkil pasand aya,

Shumaar e subha marghoob e but e mushkil pasand aya,
Tamasha e be yak kaf burdan e sad e dil pasand aya !

Be faiz e be dili numeedi e jaaved aasan hai,
Kusha'ish ko hamara uqda e mushkil pasand aya !

Hawa e sair e gul aaina e be muhri e qaatil,
Ke andaze be khuon ghalteedan e bismil pasand aya !