Skip to main content

Main Mar Mita To Woh Samjha Ye Inteha Thi Meri,



Main Mar Mita To Woh Samjha Ye Inteha Thi Meri,
Usay Khabar Hi Na Thi, Khaak Keemiya Thi Meri,


Main Chup Huwa To Woh Samjha Ke Baat Khatam Hui,
Phir Uss Ke Baad To Aawaaz Jaa-Baja Thi Meri,

Jo Taana-Zan Tha Meri Purshish-E-Dareedah Par,
Usi Ke Dosh Pe Rakhkhi Huwi Quba Thi Meri,


Main Uss Ko Yaad Karoon Bhi To Yaad Aata Nahi,
Main Uss Ko Bhool Gaya Hoon Yahi Saza Thi Meri,


Shikast De Gaya Apna Ghuroor Hi Uss Ko,
Wagarna Uss Ke Muqaabil Bisaat Kya Thi Meri,


Kaheen Dimagh Kaheen Dil Kaheen Badan Hi Badan,
Har Ek Se Dosti Yaari Judaa Judaa Thi Meri,


Main Uss Ko Dekta Rahta Tha Hairaton Se 'Faraz',
Ye Zindagi Se Ta'aruff Ki Ibtedaa Thi Meri ...

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.