dhamki main mar gaya jo na baab_e nabard tha


dhamki main mar gaya jo na baab_e nabard tha
ishq nabrad_e paisha talabgaar_e mard tha

tha zindagi main marg ka khatka laga howa
urney sey paishter bhi mera rang zard tha

taleef nuskha hi wafa kar raha tha main
majmoa_e khayyal abhi fard fard tha

dill ta jigar, k saahil_e darya_e khoo.n hay abb
is reh guzar main jalwa_e gull, Aa k gard tha

jaati hay koi kashmakash undoh_e ishq ki
dill bhi agar gaya, tu wohi dill ka dard tha

ehbaab chara saazi_e wehshat na kar sakey
zindaa.n main bhi khayyal_e bayabaa.n navard tha

ye laash be-kafan, Asad_e khasta jaa.n ki hay
huq_e maghfirat karey, ajab Aazad mard thaa