Skip to main content

Har Koi Dil Ki Hatheli Pay Hai Sehra Rakhe,




Har Koi Dil Ki Hatheli Pay Hai Sehra Rakhe,
Kis Ko Sairaab Kare Wo Kise Pyasa Rakhe,


Umar Bhar Kaun Nibhata Hai Ta'alluq Itna,
Ay Meri Jaan Ke Dushman Tujhe Allah Rakhe,


Hum Ko Acha Nahin Lagta Koi Hum Nam Tera,
Koi Tujh Sa Ho Tu Pir Nam Bhi Tera Rakhe,


Dil Bhi Pagal Hai Ke Us Shakhs Se Waabasta Hai,
Kisi Aur Ka Hone De Na Apnaa Rakhe,


Kam Nahin Tuma Ebadat Bhi To Hirs-E-Zar Se,
Fuqr To Wo Hai Ke Jo Deen Na Duniya Rakhe,


Huns Na Itna Bhi Faqeeroon Ke Akele-Pan Par,
Ja Khuda Meri Tarah Tujh Ko Bhi Tanha Rakhe,


Ye Qinna'at Hai Ata'at Hai Ke Chaahat Hai 'Faraz'
Hum To Raazi Hain Wo Jis Haal Main Jaisa Rakhe ...

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.