Skip to main content

Pyas Wo Dil Ki Bujhane Kabhi Aya Bhi Nahin


Pyas Wo Dil Ki Bujhane Kabhi Aya Bhi Nahin
 Kaisa Badal Hai Jiska Koi Saya Bhi Nahin

Berukhi Is Se Bari Aur Bhala Kya Hogi
 Ek Muddat Se Hamein Us Ne Sataya Bhi Nahin

Roz Ata Hai Dar-E-Dil Pe Wo Dastak Dene
 Aj Tak Hamne Jise Pas Bulaya Bhi Nahin

Sun Liya Kaise Khuda Jane Zamane Bhar Ne
 Wo Fasana Jo Kabhi Hamne Sunaya Bhi Nahin

Tum To Shayar Ho 'Qateel' Aur Wo Ik Am Sa Shakhs
 Us Ne Chaha Bhi Tujhe Aur Jataya Bhi Nahin
 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.